abas mujh par na tegh o bad-guman khinch

abas mujh par na tegh o bad-guman khinch
Khwaja Nasiruddin Chishti
MORE BYKhwaja Nasiruddin Chishti
'abas mujh par na teġh o bad-gumāñ khīñch
kahā kuchh ho to be-shak le zabāñ khīñch
saf-ārā ho chuke maqtal meñ jāñbāz
kamar se teġh bhar le imtihāñ khīñch
hañsī rone ke o par-nā-tavānī
mujhe lab le chale ashk-e-ravāñ khīñch
kaf-e-pā meñ chubhe ḳhār-e-muġhīlāñ
junūñ ghar se mujhe laayā kahāñ khīñch
phañsā jab dām-e-gesū meñ to bole
musībat jhel ġham khā saḳhtiyāñ khīñch
phaḌak jaa.e tabī'at jis se bahzād
koī tasvīr aisī dilsitāñ khīñch
vo kāhīda hoñ ai 'nāsir' 'ajab kyā
mujhe le jaa.e mor-e-nā-tavāñ khīñch
'abas mujh par na tegh o bad-guman khinch
kaha kuchh ho to be-shak le zaban khinch
saf-ara ho chuke maqtal mein jaanbaz
kamar se tegh bhar le imtihan khinch
hansi rone ke o par-na-tawani
mujhe lab le chale ashk-e-rawan khinch
kaf-e-pa mein chubhe KHar-e-mughilan
junun ghar se mujhe laya kahan khinch
phansa jab dam-e-gesu mein to bole
musibat jhel gham kha saKHtiyan khinch
phaDak jae tabi'at jis se bahzad
koi taswir aisi dilsitan khinch
wo kahida hon ai 'nasir' 'ajab kya
mujhe le jae mor-e-na-tawan khinch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.