kisī ko de ke dil koī navā-sañj-e-fuġhāñ kyuuñ ho
na ho jab dil hī siine meñ to phir muñh meñ zabāñ kyuuñ ho
vo apnī ḳhū na chhoḌeñge ham apnī vaz.a kyuuñ chhoḌeñ
subuk-sar ban ke kyā pūchheñ ki ham se sargirāñ kyuuñ ho
kiyā ġham-ḳhvār ne rusvā lage aag is mohabbat ko
na laave taab jo ġham kī vo merā rāz-dāñ kyuuñ ho
vafā kaisī kahāñ kā ishq jab sar phoḌnā Thahrā
to phir ai sañg-dil terā hī sañg-e-āstāñ kyuuñ ho
qafas meñ mujh se rūdād-e-chaman kahte na Dar hamdam
girī hai jis pe kal bijlī vo merā āshiyāñ kyuuñ ho
ye kah sakte ho ham dil meñ nahīñ haiñ par ye batlāo
ki jab dil meñ tumhīñ tum ho to āñkhoñ se nihāñ kyuuñ ho
ġhalat hai jazb-e-dil kā shikva dekho jurm kis kā hai
na khīñcho gar tum apne ko kashākash darmiyāñ kyuuñ ho
ye fitna aadmī kī ḳhāna-vīrānī ko kyā kam hai
hue tum dost jis ke dushman us kā āsmāñ kyuuñ ho
yahī hai āzmānā to satānā kis ko kahte haiñ
adū ke ho liye jab tum to merā imtihāñ kyuuñ ho
kahā tum ne ki kyuuñ ho ġhair ke milne meñ rusvā.ī
bajā kahte ho sach kahte ho phir kahiyo ki haañ kyuuñ ho
nikālā chāhtā hai kaam kyā ta.anoñ se tū 'ġhālib'
tire be-mehr kahne se vo tujh par mehrbāñ kyuuñ ho
kisī ko de ke dil koī nawā-sañj-e-fuġhāñ kyuñ ho
na ho jab dil hī sine meñ to phir muñh meñ zabāñ kyuñ ho
wo apnī ḳhū na chhoḌeñge hum apnī waza kyuñ chhoḌeñ
subuk-sar ban ke kyā pūchheñ ki hum se sargirāñ kyuñ ho
kiyā ġham-ḳhwār ne ruswā lage aag is mohabbat ko
na lawe tab jo ġham kī wo merā rāz-dāñ kyuñ ho
wafā kaisī kahāñ kā ishq jab sar phoḌnā Thahrā
to phir ai sañg-dil terā hī sañg-e-āstāñ kyuñ ho
qafas meñ mujh se rūdād-e-chaman kahte na Dar hamdam
girī hai jis pe kal bijlī wo merā āshiyāñ kyuñ ho
ye kah sakte ho hum dil meñ nahīñ haiñ par ye batlāo
ki jab dil meñ tumhīñ tum ho to āñkhoñ se nihāñ kyuñ ho
ġhalat hai jazb-e-dil kā shikwa dekho jurm kis kā hai
na khīñcho gar tum apne ko kashākash darmiyāñ kyuñ ho
ye fitna aadmī kī ḳhāna-wīrānī ko kyā kam hai
hue tum dost jis ke dushman us kā āsmāñ kyuñ ho
yahī hai āzmānā to satānā kis ko kahte haiñ
adū ke ho liye jab tum to merā imtihāñ kyuñ ho
kahā tum ne ki kyuñ ho ġhair ke milne meñ ruswāī
bajā kahte ho sach kahte ho phir kahiyo ki hañ kyuñ ho
nikālā chāhtā hai kaam kyā tanoñ se tū 'ġhālib'
tere be-mehr kahne se wo tujh par mehrbāñ kyuñ ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.