Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kis ko sunāūñ hāl-e-ġham koī ġham-āshnā nahīñ

Fana Bulandshahri

kis ko sunāūñ hāl-e-ġham koī ġham-āshnā nahīñ

Fana Bulandshahri

kis ko sunā.ūñ hāl-e-ġham koī ġham-āshnā nahīñ

aisā milā hai dard-e-dil jis koī davā nahīñ

merī namāz-e-ishq ko shaiḳh samajh sakegā kyā

us ne dar-e-habīb pe sajda kabhī kiyā nahīñ

mujh ko ḳhudā se āshnā koī bhalā karegā kyā

maiñ to sanam-parast huuñ merā koī ḳhudā nahīñ

kaise adā karūñ namāz kaise jhukā.ūñ apnā sar

sehn-e-haram meñ shaiḳh-jī yaar naqsh-e-pā nahīñ

kyā haiñ usūl-e-bandagī ahl-e-junūñ ko kyā ḳhabar

sajda ravā kahāñ pe hai sajda kahāñ ravā nahīñ

mujh se shurū-e-ishq meñ mil ke jo tum bichhaḌ ga.e

baat hai ye nasīb tum se koī gila nahīñ

mujh ko rah-e-hayāt meñ log bahut mile magar

un se milā de jo mujhe aisā koī milā nahīñ

apnā banā ke ai sanam tum ne jo aañkh pher

aisā bujhā charāġh-e-dil phir ye kabhī jalā nahīñ

ishq shaan marhabā ishq hai sunnat-e-ḳhudā

ishq meñ jo bhī miT gayā us ko kabhī 'fanā' nahīñ

kis ko sunāūñ hāl-e-ġham koī ġham-āshnā nahīñ

aisā milā hai dard-e-dil jis koī dawā nahīñ

merī namāz-e-ishq ko shaiḳh samajh sakegā kyā

us ne dar-e-habīb pe sajda kabhī kiyā nahīñ

mujh ko ḳhudā se āshnā koī bhalā karegā kyā

maiñ to sanam-parast huñ merā koī ḳhudā nahīñ

kaise adā karūñ namāz kaise jhukāūñ apnā sar

sehn-e-haram meñ shaiḳh-jī yar naqsh-e-pā nahīñ

kyā haiñ usūl-e-bandagī ahl-e-junūñ ko kyā ḳhabar

sajda rawā kahāñ pe hai sajda kahāñ rawā nahīñ

mujh se shurū-e-ishq meñ mil ke jo tum bichhaḌ gae

baat hai ye nasīb tum se koī gila nahīñ

mujh ko rah-e-hayāt meñ log bahut mile magar

un se milā de jo mujhe aisā koī milā nahīñ

apnā banā ke ai sanam tum ne jo aañkh pher

aisā bujhā charāġh-e-dil phir ye kabhī jalā nahīñ

ishq shan marhabā ishq hai sunnat-e-ḳhudā

ishq meñ jo bhī miT gayā us ko kabhī 'fanā' nahīñ

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Vakhra Malanq

Vakhra Malanq

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now