kis shan se wo aaj pai-e-imtahan chale
kis shaan se vo aaj pai-e-imtahāñ chale
fitnoñ ne paañv chuum ke pūchhā kahāñ chale
jab maiñ chalūñ to saaya bhī merā na saath de
jab tum chalo zamīn chale āsmāñ chale
zikr-e-habīb se na ho ġhaflat kabhī 'jalīl'
chaltā rahe ye kaam bhī jab tak zabāñ chale
kis shan se wo aaj pai-e-imtahan chale
fitnon ne panw chum ke puchha kahan chale
jab main chalun to saya bhi mera na sath de
jab tum chalo zamin chale aasman chale
zikr-e-habib se na ho ghaflat kabhi 'jalil'
chalta rahe ye kaam bhi jab tak zaban chale
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 232)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.