kisi ko hijr taDpae tumhein kya
kisī ko hijr taḌpā.e tumheñ kyā
jiye koī ki mar jaa.e tumheñ kyā
qiyāmat bhī agar aa.e tumheñ kyā
koī suulī pe chaḌh jaa.e tumheñ kyā
tumhārī jalva-sāmānī salāmat
zamāne par ġhazab aa.e tumheñ kyā
ba-sad nāz-o-adā gesū bikhero
añdherā har taraf chhā.e tumheñ kyā
mohabbat ko na tum samjho na jaano
mohabbat ham ko taḌpā.e tumheñ kyā
tumhārā mashġhala mashq-e-taġhāful
kisī ke dam pe ban jaa.e tumheñ kyā
'nasīr' āh-o-fuġhāñ se baaz aao
samajhte hoñge ham-sā.e tumheñ kyā
kisi ko hijr taDpae tumhein kya
jiye koi ki mar jae tumhein kya
qiyamat bhi agar aae tumhein kya
koi suli pe chaDh jae tumhein kya
tumhaari jalwa-samani salamat
zamane par ghazab aae tumhein kya
ba-sad naz-o-ada gesu bikhero
andhera har taraf chhae tumhein kya
mohabbat ko na tum samjho na jaano
mohabbat hum ko taDpae tumhein kya
tumhaara mashghala mashq-e-taghaful
kisi ke dam pe ban jae tumhein kya
'nasir' aah-o-fughan se baz aao
samajhte honge ham-sae tumhein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.