koī ḳhāmosh zaḳhm lagtī hai
zindagī ek nazm lagtī hai
bazm-e-yārāñ meñ rahtā huuñ tanhā
aur tanhā.ī bazm lagtī hai
apne saa.e pe paañv rakhtā huuñ
chhāñv chhāloñ ko narm lagtī hai
chāñd kī nabz dekhnā uTh kar
raat kī saañs garm lagtī hai
ye rivāyat ki dard mahke raheñ
dil kī derīna rasm lagtī hai
koi KHamosh zaKHm lagti hai
zindagi ek nazm lagti hai
bazm-e-yaran mein rahta hun tanha
aur tanhai bazm lagti hai
apne sae pe panw rakhta hun
chhanw chhaalon ko narm lagti hai
chand ki nabz dekhna uTh kar
raat ki sans garm lagti hai
ye riwayat ki dard mahke rahen
dil ki derina rasm lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.