kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe
kuchh is adā se aaj vo pahlū-nashīñ rahe
jab tak hamāre paas rahe ham nahīñ rahe
īmān-o-kufr aur na duniyā-o-dīñ rahe
ai ishaq shaad baash ki tanhā hamīñ rahe
aalam jab ek haal pe qaa.em nahīñ rahe
kyā ḳhaak etibār-e-nigāh-e-yaqīn rahe
merī zabāñ pe shikva-e-dard-āfrīñ rahe
shāyad mire havās Thikāne nahīñ rahe
jab tak ilāhī jism meñ jān-e-hazīñ rahe
nazreñ mirī javāñ raheñ dil hasīñ rahe
yārab kisī ke rāz-e-mohabbat kī ḳhair ho
dast-e-junūñ rahe na rahe āstīñ rahe
tā-chand josh-e-ishq meñ dil kī hifāzateñ
merī balā se ab vo junūnī kahīñ rahe
jā aur koī zabt kī duniyā talāsh kar
ai ishaq ham to ab tire qābil nahīñ rahe
mujh ko nahīñ qabūl do-ālam kī vus.ateñ
qismat meñ kū-e-yār kī vo gar zamīñ rahe
ai ishq-e-nālā-kash terī ġhairat ko kyā huā
hai hai araq vo tan-e-nāznīñ rahe
dard-o-ġham-e-firāq ke ye saḳht marhale
hairāñ huuñ maiñ ki phir bhī tum itne hasīñ rahe
allāh-rī chashm-e-yār kī mojiz-bayāniyāñ
har ek ko hai gumāñ ki muḳhātab hamīñ rahe
zālim uThā tū parda-e-vahm-o-gumān-o-fikr
kyā sāmne vo marhala-hā-e-yaqīñ rahe
zāt-o-sifāt jis kā aalam nazar meñ hai
mahdūd-e-sajda kyā mirā zauq-e-jabīñ rahe
kis dard se kisī ne kahā aaj bazm meñ
achchhā ye hai vo nañg-e-mohabbat yahīñ rahe
sar-dādgān-e-ishq-o-mohabbat kī kyā kamī
qātil kī teġh-e-tez ḳhudā kī zamīñ rahe
is ishaq kī talāfī-e-māfāt dekhnā
rone kī hasrateñ haiñ jab aañsū nahīñ rahe
kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe
jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe
iman-o-kufr aur na duniya-o-din rahe
ai ishaq shad bash ki tanha hamin rahe
aalam jab ek haal pe qaem nahin rahe
kya KHak etibar-e-nigah-e-yaqin rahe
meri zaban pe shikwa-e-dard-afrin rahe
shayad mere hawas Thikane nahin rahe
jab tak ilahi jism mein jaan-e-hazin rahe
nazren meri jawan rahen dil hasin rahe
yarab kisi ke raaz-e-mohabbat ki KHair ho
dast-e-junun rahe na rahe aastin rahe
ta-chand josh-e-ishq mein dil ki hifazaten
meri bala se ab wo jununi kahin rahe
ja aur koi zabt ki duniyā talash kar
ai ishaq hum to ab tere qabil nahin rahe
mujh ko nahin qabul do-alam ki wusaten
qismat mein ku-e-yar ki wo gar zamin rahe
ai ishq-e-nala-kash teri ghairat ko kya hua
hai hai araq wo tan-e-naznin rahe
dard-o-gham-e-firaq ke ye saKHt marhale
hairan hun main ki phir bhi tum itne hasin rahe
allah-ri chashm-e-yar ki mojiz-bayaniyan
har ek ko hai guman ki muKHatab hamin rahe
zalim uTha tu parda-e-wahm-o-guman-o-fikr
kya samne wo marhala-ha-e-yaqin rahe
zat-o-sifat jis ka aalam nazar mein hai
mahdud-e-sajda kya mera zauq-e-jabin rahe
kis dard se kisi ne kaha aaj bazm mein
achchha ye hai wo nang-e-mohabbat yahin rahe
sar-dadgan-e-ishq-o-mohabbat ki kya kami
qatil ki tegh-e-tez KHuda ki zamin rahe
is ishaq ki talafi-e-mafat dekhna
rone ki hasraten hain jab aansu nahin rahe
- Book : Kulliyat-e-Jigar Muradabadi (Pg. 84)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Liberty Publisher and Printers, Hyderabad (1958)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.