kuchh na puchho kya hua kyunkar hua
kuchh na puchho kya hua kyunkar hua
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
kuchh na pūchho kyā huā kyūñkar huā
jo huā jaisā huā behtar huā
kyā bhalā ho merī marzī ke ḳhilāf
vo jo hasb-e-marzī-e-dilbar huā
dost raazī hai to phir kuchh Dar nahīñ
ho agar dushman zamāna bhar huā
jab tavaqqo’ uTh ga.ī maḳhlūq se
mujh pe fazl-e-ḳhāliq-e-akbar huā
band jab sab dar hue mere liye
ġhaib se paidā nayā ik dar huā
had bhī kuchh ai kHāma-e-hasrat raqam
likh bhī chuk ḳhat kyā huā daftar huā
ho ga.e jab rāste masdūd sab
jazb ḳhud 'majzūb' kā rahbar huā
kuchh na puchho kya hua kyunkar hua
jo hua jaisa hua behtar hua
kya bhala ho meri marzi ke KHilaf
wo jo hasb-e-marzi-e-dilbar hua
dost raazi hai to phir kuchh Dar nahin
ho agar dushman zamana bhar hua
jab tawaqqo’ uTh gai maKHluq se
mujh pe fazl-e-KHaliq-e-akbar hua
band jab sab dar hue mere liye
ghaib se paida naya ek dar hua
had bhi kuchh ai kHama-e-hasrat raqam
likh bhi chuk KHat kya hua daftar hua
ho gae jab raste masdud sab
jazb KHud 'majzub' ka rahbar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.