Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kushāda dast-e-karam jab wo be-niyāz kare

Allama Iqbal

kushāda dast-e-karam jab wo be-niyāz kare

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    kushāda dast-e-karam jab vo be-niyāz kare

    niyāz-mand na kyuuñ ājizī pe naaz kare

    biThā ke arsh pe rakkhā hai ne ai vaa.iz

    ḳhudā vo kyā hai jo bandoñ se ehtirāz kare

    mirī nigāh meñ vo riñd nahīñ saaqī

    jo hoshiyārī o mastī meñ imtiyāz kare

    mudām gosh-ba-dil rah ye saaz hai aisā

    jo ho shikasta to paidā navā-e-rāz kare

    koī ye pūchhe ki vaa.iz kyā bigaḌtā hai

    jo be-amal pe bhī rahmat vo be-niyāz kare

    suḳhan meñ soz ilāhī kahāñ se aatā hai

    ye chiiz vo hai ki patthar ko bhī gudāz kare

    tam.īz-e-lāla-o-gul se hai nāla-e-bulbul

    jahāñ meñ na koī chashm-e-imtiyāz kare

    ġhurūr-e-zohd ne sikhlā diyā hai vaa.iz ko

    ki bandagān-e-ḳhudā par zabāñ darāz kare

    havā ho aisī ki hindostāñ se ai 'iqbāl'

    uḌā ke mujh ko ġhubār-e-rah-e-hijāz kare

    kushāda dast-e-karam jab wo be-niyāz kare

    niyāz-mand na kyuñ ājizī pe naz kare

    biThā ke arsh pe rakkhā hai ne ai waiz

    ḳhudā wo kyā hai jo bandoñ se ehtirāz kare

    mirī nigāh meñ wo riñd nahīñ saqī

    jo hoshiyārī o mastī meñ imtiyāz kare

    mudām gosh-ba-dil rah ye saz hai aisā

    jo ho shikasta to paidā nawā-e-rāz kare

    koī ye pūchhe ki waiz kyā bigaḌtā hai

    jo be-amal pe bhī rahmat wo be-niyāz kare

    suḳhan meñ soz ilāhī kahāñ se aatā hai

    ye chiz wo hai ki patthar ko bhī gudāz kare

    tamīz-e-lāla-o-gul se hai nāla-e-bulbul

    jahāñ meñ na koī chashm-e-imtiyāz kare

    ġhurūr-e-zohd ne sikhlā diyā hai waiz ko

    ki bandagān-e-ḳhudā par zabāñ darāz kare

    hawā ho aisī ki hindostāñ se ai 'iqbāl'

    uḌā ke mujh ko ġhubār-e-rah-e-hijāz kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now