did-e-jamal-e-haq hui husn-e-nigar dekh kar

did-e-jamal-e-haq hui husn-e-nigar dekh kar
Shabbir Sajid Mehrvi
MORE BYShabbir Sajid Mehrvi
dīd-e-jamāl-e-haq huī husn-e-nigār dekh kar
ban ga.e but-parast ham sūrat-e-yār dekh kar
aisā thā hāl-e-be-kasī un ko bhī rahm aa gayā
mujh se lipaT ga.e merī hālat-e-zār dekh kar
jaane kahāñ kahāñ qadam rakkhe mere huzūr ne
sajde kiye haiñ jā-bajā un kā dayār dekh kar
kab thā nasīb meñ sukūñ pahle hī haal thā zubūñ
baḌh ga.iiñ aur uljhaneñ gesū-e-yār dekh kar
vaise to ham na chal sake un ke nishāñ ke saath saath
ban ga.e ham ġhubār-e-rāh nāqa-e-yār dekh kar
pahle to chup khaḌe rahe sar ko jhukā.e sharm se
ro diye phūT-phūT kar merā mazār dekh kar
'sājid' nazar jo aa.e ham ye kyā kiyā chashm-e-yār ne
tīr-e-nazar chalā diyā apnā shikār dekh kar
did-e-jamal-e-haq hui husn-e-nigar dekh kar
ban gae but-parast hum surat-e-yar dekh kar
aisa tha haal-e-be-kasi un ko bhi rahm aa gaya
mujh se lipaT gae meri haalat-e-zar dekh kar
jaane kahan kahan qadam rakkhe mere huzur ne
sajde kiye hain ja-baja un ka dayar dekh kar
kab tha nasib mein sukun pahle hi haal tha zubun
baDh gain aur uljhanen gesu-e-yar dekh kar
waise to hum na chal sake un ke nishan ke sath sath
ban gae hum ghubar-e-rah naqa-e-yar dekh kar
pahle to chup khaDe rahe sar ko jhukae sharm se
ro diye phuT-phuT kar mera mazar dekh kar
'sajid' nazar jo aae hum ye kya kiya chashm-e-yar ne
tir-e-nazar chala diya apna shikar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.