māna-e-dasht-navardī koī tadbīr nahīñ
ek chakkar hai mire paañv meñ zanjīr nahīñ
shauq us dasht meñ dauḌāye hai mujh ko ki jahāñ
jaada ġhair az nigah-e-dīda-e-tasvīr nahīñ
hasrat-e-lazzat-e-āzār rahī jaatī hai
jāda-e-rāh-e-vafā juz dam-e-shamshīr nahīñ
rañj-e-naumīdi-e-jāved gavārā rahiyo
ḳhush huuñ gar nāla-zabūnī kash-e-tāsīr nahīñ
sar khujātā hai jahāñ zaḳhm-e-sar achchhā ho jaa.e
lazzat-e-sañg ba-andāza-e-taqrīr nahīñ
jab karam ruḳhsat-e-bebākī-o-gustāḳhī de
koī taqsīr ba-juz ḳhajlat-e-taqsīr nahīñ
'ġhālib' apnā ye aqīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
'mīr' ke sher kā ahvāl kahūñ kyā 'ġhālib'
jis kā dīvān kam-az-gulshan-e-kashmīr nahīñ
ā.īna daam ko parde meñ chhupātā hai abas
ki parī-zād-e-nazar qābil-e-tasḳhīr nahīñ
misl-e-gul zaḳhm hai merā bhī sināñ se tavvām
terā tarkash hī kuchh ābistanī-e-tīr nahīñ
māna-e-dasht-nawardī koī tadbīr nahīñ
ek chakkar hai mere pañw meñ zanjīr nahīñ
shauq us dasht meñ dauḌāye hai mujh ko ki jahāñ
jada ġhair az nigah-e-dīda-e-taswīr nahīñ
hasrat-e-lazzat-e-āzār rahī jatī hai
jāda-e-rāh-e-wafā juz dam-e-shamshīr nahīñ
rañj-e-naumīdi-e-jāwed gawārā rahiyo
ḳhush huñ gar nāla-zabūnī kash-e-tāsīr nahīñ
sar khujātā hai jahāñ zaḳhm-e-sar achchhā ho jae
lazzat-e-sañg ba-andāza-e-taqrīr nahīñ
jab karam ruḳhsat-e-bebākī-o-gustāḳhī de
koī taqsīr ba-juz ḳhajlat-e-taqsīr nahīñ
'ġhālib' apnā ye aqīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
'mīr' ke sher kā ahwāl kahūñ kyā 'ġhālib'
jis kā dīwān kam-az-gulshan-e-kashmīr nahīñ
āīna dam ko parde meñ chhupātā hai abas
ki parī-zād-e-nazar qābil-e-tasḳhīr nahīñ
misl-e-gul zaḳhm hai merā bhī sināñ se tawwām
terā tarkash hī kuchh ābistanī-e-tīr nahīñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.