apni hasti ka jo hasil kahin irfan hojaye
apnī hastī kā jo hāsil kahīñ irfāñ hojāye
har haqīqat dil-e-insāñ pe numāyāñ hojāye
terā bīmār agar chhoḌ de dāmān-e-shakeb
aaj shīrāza-e-kaunain pareshāñ hojāye
kuchh to hojāye tire zauq-e-jafā kī takmīl
jism kā jism mohabbat meñ rag-e-jāñ hojāye
zabt-e-ulfat meñ hai īmān magar kyā kījiye
jo mere dil meñ hai āñkhoñ se numāyāñ hojāye
āñkhoñ āñkhoñ meñ pilā de mujhe sahbā-e-visāl
parde parde meñ ilāj-e-ġham-e-pinhāñ hojāye
ham bhī īmān kī daulat ko liye baiThe haiñ
is taraf bhī koī ġhārat-gar-e-īmāñ hojāye
bhed khul jaa.e baqā kā jo kahīñ ai 'māhir'
aadmī maut pe sau jaan se qurbāñ hojāye
apni hasti ka jo hasil kahin irfan hojaye
har haqiqat dil-e-insan pe numayan hojaye
tera bimar agar chhoD de daman-e-shakeb
aaj shiraaza-e-kaunain pareshan hojaye
kuchh to hojaye tere zauq-e-jafa ki takmil
jism ka jism mohabbat mein rag-e-jaan hojaye
zabt-e-ulfat mein hai iman magar kya kijiye
jo mere dil mein hai aankhon se numayan hojaye
aankhon aankhon mein pila de mujhe sahba-e-visal
parde parde mein ilaj-e-gham-e-pinhan hojaye
hum bhi iman ki daulat ko liye baiThe haiñ
is taraf bhi koi ghaarat-gar-e-iman hojaye
bhed khul jae baqa ka jo kahin ai 'mahir'
aadmi maut pe sau jaan se qurban hojaye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.