wo hans hans ke wade kae ja rahe hain
vo hañs hañs ke va.ade ka.e jā rahe haiñ
fareb-e-tamannā diye jā rahe haiñ
tirā naam lekar jiye jā rahe haiñ
gunāh-e-mohabbat kiye jā rahe haiñ
mire zaḳhm-e-dil kā muqaddar to dekho
nigāhoñ se Tāñke diye jā rahe haiñ
nahīñ dil meñ baaqī sakat zabt-e-ġham kī
magar āñsuoñ ko piye jā rahe haiñ
mire shaqq-e-dīdār kā haal sun kar
qiyāmat ke va.ade ka.e jā rahe haiñ
dhaḌakte hue dil ke parde meñ chhup kar
payām mohabbat diye jā rahe haiñ
harīm-e-tajallī meñ zauq-e-nazar hai
nigāhoñ se sajde kiye jā rahe haiñ
na kaalī ghaTā.eñ na phūloñ kā mausam
magar piine vaale piye jā rahe haiñ
tirī mahfil-e-nāz se uThne vaale
nigāhoñ meñ tujh ko liye jā rahe haiñ
abhī hai asīrī kā āġhāz 'māhir'
abhī to faqat par siye jā rahe haiñ
wo hans hans ke wade kae ja rahe hain
fareb-e-tamanna diye ja rahe hain
tera nam lekar jiye ja rahe hain
gunah-e-mohabbat kiye ja rahe hain
mere zaKHm-e-dil ka muqaddar to dekho
nigahon se Tanke diye ja rahe hain
nahin dil mein baqi sakat zabt-e-gham ki
magar aansuon ko piye ja rahe hain
mere shaqq-e-didar ka haal sun kar
qiyamat ke wade kae ja rahe hain
dhaDakte hue dil ke parde mein chhup kar
payam mohabbat diye ja rahe hain
harim-e-tajalli mein zauq-e-nazar hai
nigahon se sajde kiye ja rahe hain
na kali ghaTaen na phulon ka mausam
magar pine wale piye ja rahe hain
teri mahfil-e-naz se uThne wale
nigahon mein tujh ko liye ja rahe hain
abhi hai asiri ka aaghaz 'mahir'
abhi to faqat par siye ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.