pi ke mai teri dua karata hai ye mastana ab

pi ke mai teri dua karata hai ye mastana ab
Mahmood Ahmad Rabbani
MORE BYMahmood Ahmad Rabbani
pī ke mai terī du'ā karatā hai ye mastāna ab
hashr tak qaa.im rahe saaqī tirā mai-ḳhāna ab
piine ko tayyār ho kar aa gayā dīvāna ab
mere saaqī jitnā bhī chāhe pilā paimāna ab
phir na aa.e hosh aisā dījiye paimāna ab
hosh meñ aane lagā hai aap kā dīvāna ab
nūrī-sūrat nek-sīrat hosh-mandī be-misāl
jo bhī dekhegā tumheñ ho jā.egā dīvāna ab
un kī nisbat se huiiñ paidā vo mujh meñ ḳhūbiyāñ
is faqīrī meñ mirā andāz hai shāhāna ab
ik mohabbat kī badaulat hī banī hai kā.ināt
is se baḌh kar kuchh nahīñ hai aur kyā samjhānā ab
dil meñ ahmad bas ga.ī sūrat vo nuurī is qadar
har taraf dikhne lagā hai jalva-e-jānāna ab
pi ke mai teri du'a karata hai ye mastana ab
hashr tak qaim rahe saqi tera mai-KHana ab
pine ko tayyar ho kar aa gaya diwana ab
mere saqi jitna bhi chahe pila paimana ab
phir na aae hosh aisa dijiye paimana ab
hosh mein aane laga hai aap ka diwana ab
nuri-surat nek-sirat hosh-mandi be-misal
jo bhi dekhega tumhein ho jaega diwana ab
un ki nisbat se huin paida wo mujh mein KHubiyan
is faqiri mein mera andaz hai shahana ab
ek mohabbat ki badaulat hi bani hai kainat
is se baDh kar kuchh nahin hai aur kya samjhana ab
dil mein ahmad bas gai surat wo nuri is qadar
har taraf dikhne laga hai jalwa-e-jaanana ab
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 330)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.