main hosh mein hun to tera hun diwana hun to tera hun
main hosh mein hun to tera hun diwana hun to tera hun
Zaheen Shah Taji
MORE BYZaheen Shah Taji
maiñ hosh meñ huuñ to terā huuñ dīvāna huuñ to terā huuñ
huuñ raaz agar to terā huuñ afsāna huuñ to terā huuñ
barbād kiyā barbād huā ābād kiyā ābād huā
vīrāna huuñ to terā huuñ kāshāna huuñ to terā huuñ
is terī tajallī ke qurbāñ qurbān-e-tajallī har ’unvāñ
maiñ sham.a bhī huuñ to terā huuñ parvāna huuñ to terā huuñ
tū laakh hijāb kare mujh se yā koī parda hī na rahe
maiñ huuñ to yagāna terā huuñ begāna huuñ to terā huuñ
tū mere kaif kī duniyā hai tū merī mastī kā 'ālam
paimāna huuñ to terā huuñ mai-ḳhāna huuñ to terā huuñ
har zarra 'zahīn' kī hastī kā tasvīr hai terī sar-tā-pā
o ka’aba-e-dil Dhāne vaale but-ḳhāna huuñ to terā huuñ
main hosh mein hun to tera hun diwana hun to tera hun
hun raaz agar to tera hun afsana hun to tera hun
barbaad kiya barbaad hua aabaad kiya aabaad hua
virana hun to tera hun kashana hun to tera hun
is teri tajalli ke qurban qurban-e-tajalli har ’unwan
main shama bhi hun to tera hun parwana hun to tera hun
tu lakh hijab kare mujh se ya koi parda hi na rahe
main hun to yagana tera hun begana hun to tera hun
tu mere kaif ki duniya hai tu meri masti ka 'alam
paimana hun to tera hun mai-KHana hun to tera hun
har zarra 'zahin' ki hasti ka taswir hai teri sar-ta-pa
o ka’aba-e-dil Dhane wale but-KHana hun to tera hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.