main KHayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
maiñ ḳhayāl huuñ kisī aur kā mujhe sochtā koī aur hai
sar-e-ā.īna mirā 'aks hai pas-e-ā.īna koī aur hai
maiñ kisī ke dast-e-talab meñ huuñ to kisī ke harf-e-du'ā meñ huuñ
maiñ nasīb huuñ kisī aur kā mujhe māñgtā koī aur hai
'ajab e'tibār-o-be-e'tibārī ke darmiyān hai zindagī
maiñ qarīb huuñ kisī aur ke mujhe jāntā koī aur hai
mirī raushnī tire ḳhadd-o-ḳhāl se muḳhtalif to nahīñ magar
tū qarīb aa tujhe dekh luuñ tū vahī hai yā koī aur hai
tujhe dushmanoñ kī ḳhabar na thī mujhe dostoñ kā patā nahīñ
tirī dāstāñ koī aur thī mirā vāqi.a koī aur hai
vahī munsifoñ kī rivāyateñ vahī faisloñ kī ’ibārateñ
mirā jurm to koī aur thā pe mirī sazā koī aur hai
kabhī lauT aa.eñ to pūchhnā nahīñ dekhnā unheñ ġhaur se
jinheñ rāste meñ ḳhabar huī ki ye rāsta koī aur hai
jo mirī riyāzat-e-nīm-shab ko 'salīm' sub.h na mil sakī
to phir is ke ma.anī to ye hue ki yahāñ ḳhudā koī aur hai
main KHayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
sar-e-aina mera 'aks hai pas-e-aina koi aur hai
main kisi ke dast-e-talab mein hun to kisi ke harf-e-du'a mein hun
main nasib hun kisi aur ka mujhe mangta koi aur hai
'ajab e'tibar-o-be-e'tibari ke darmiyan hai zindagi
main qarib hun kisi aur ke mujhe jaanta koi aur hai
meri raushni tere KHadd-o-KHal se muKHtalif to nahin magar
tu qarib aa tujhe dekh lun tu wahi hai ya koi aur hai
tujhe dushmanon ki KHabar na thi mujhe doston ka pata nahin
teri dastan koi aur thi mera waqia koi aur hai
wahi munsifon ki riwayaten wahi faislon ki ’ibaraten
mera jurm to koi aur tha pe meri saza koi aur hai
kabhi lauT aaen to puchhna nahin dekhna unhen ghaur se
jinhen raste mein KHabar hui ki ye rasta koi aur hai
jo meri riyazat-e-nim-shab ko 'salim' subh na mil saki
to phir is ke mani to ye hue ki yahan KHuda koi aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.