Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

main nara-e-mastana main shoKHi-e-rindana

Wasif Ali Wasif

main nara-e-mastana main shoKHi-e-rindana

Wasif Ali Wasif

MORE BYWasif Ali Wasif

    maiñ na.ara-e-mastāna maiñ shoḳhī-e-rindāna

    maiñ tishna kahāñ jā۔ūñ kar bhī kahāñ jaanā

    maiñ tā.ir-e-lāhūtī maiñ jauhar-e-malakūtī

    nāsūtī ne kab mujh ko is haal meñ pahchānā

    maiñ soz-e-mohabbat huuñ maiñ ek qayāmat huuñ

    maiñ ashk-e-nadāmat huuñ maiñ gauhar-e-yak-dāna

    kis yaad sahrā huuñ kis chashm dariyā huuñ

    ḳhud tuur jalva huuñ hai shakl-e-kalīmāna

    maiñ sham-e-farozāñ huuñ maiñ ātish-e-larzāñ huuñ

    maiñ sozish-e-hijrāñ huuñ maiñ manzil-e-parvāna

    maiñ husn-e-mujassam huuñ maiñ gesū-e-barham huuñ

    maiñ phuul huuñ shabnam huuñ maiñ jalva-e-jānāna

    maiñ 'vāsif'-e-bismil huuñ maiñ raunaq-e-mahfil huuñ

    ik TuuTā huā dil huuñ maiñ shahr meñ vīrāna

    main nara-e-mastana main shoKHi-e-rindana

    main tishna kahan ja۔un pi kar bhi kahan jaana

    main tair-e-lahuti main jauhar-e-malakuti

    nasuti ne kab mujh ko is haal mein pahchana

    main soz-e-mohabbat hun main ek qayamat hun

    main ashk-e-nadamat hun main gauhar-e-yak-dana

    kis yaad ka sahra hun kis chashm ka dariya hun

    KHud tur ka jalwa hun hai shakl-e-kalimana

    main sham-e-farozan hun main aatish-e-larzan hun

    main sozish-e-hijran hun main manzil-e-parwana

    main husn-e-mujassam hun main gesu-e-barham hun

    main phul hun shabnam hun main jalwa-e-jaanana

    main 'wasif'-e-bismil hun main raunaq-e-mahfil hun

    ek TuTa hua dil hun main shahr mein virana

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now