Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya

Saghar Siddiqi

main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya

Saghar Siddiqi

MORE BYSaghar Siddiqi

    maiñ talḳhī-e-hayāt se ghabrā ke gayā

    ġham siyāh raat se ghabrā ke gayā

    itnī daqīq shai koī kaise samajh sake

    yazdāñ ke vāqi.āt se ghabrā ke gayā

    chhalke hue the jaam pareshāñ thī zulf-e-yār

    kuchh aise hādisāt se ghabrā ke gayā

    maiñ aadmī huuñ koī farishta nahīñ huzūr

    maiñ aaj apnī zaat se ghabrā ke gayā

    duniyā-e-hādisāt hai ik dardnāk giit

    duniyā-e-hādisāt se ghabrā ke gayā

    kāñTe to ḳhair kāñTe haiñ is gila kyā

    phūloñ vārdāt se ghabrā ke gayā

    'sāġhar' vo kah rahe the ki lījiye huzūr

    un guzārishāt se ghabrā ke gayā

    main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya

    gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya

    itni daqiq shai koi kaise samajh sake

    yazdan ke waqiat se ghabra ke pi gaya

    chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar

    kuchh aise hadisat se ghabra ke pi gaya

    main aadmi hun koi farishta nahin huzur

    main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya

    duniya-e-hadisat hai ek dardnak git

    duniya-e-hadisat se ghabra ke pi gaya

    kanTe to KHair kanTe hain is ka gila hi kya

    phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya

    'saghar' wo kah rahe the ki pi lijiye huzur

    un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now