us dilruba sanam ka jab se kiya nazara
us dilrubā sanam kā jab se kiyā nazārā
āñkheñ dikhā ke us ne be-maut mujh ko maarā
kuchh bas chalā na apnā be-sāḳhta pukārā
dil mīr-o-duzd-e-sitam sāheb-dilāñ ḳhudā-rā
dar vā ki rāz-e-pinhāñ ḳhvāhad shud āshkārā
nāseh nahīñ mirā dil kā'ba kā ārzū-mand
badnām-e-'āshiqī huuñ detā hai kyuuñ mujhe pand
bazm-e-butāñ kā jaanā mumkin nahīñ ki ho band
dar kū-e-nek-nāmī mā rā guzar na dādand
gar tū ne pasandī taġh.īr kun qazā rā
dariyā-e-'āshiqī hai aafat kā mauj añgez
aur raat hai añdherī mallāh ko hai parhez
tūfān ne kar diyā hai jām-e-hayāt-e-labrez
kashtī shikastgānem ai baad bād-e-shurt barḳhez
bāshad ki baaz bīnam aañ yaar āshnā rā
us dilruba sanam ka jab se kiya nazara
aankhen dikha ke us ne be-maut mujh ko mara
kuchh bas chala na apna be-saKHta pukara
dil mir-o-duzd-e-sitam saheb-dilan KHuda-ra
dar wa ki raaz-e-pinhan KHwahad shud aashkara
naseh nahin mera dil ka'ba ka aarzu-mand
badnam-e-'ashiqi hun deta hai kyun mujhe pand
bazm-e-butan ka jaana mumkin nahin ki ho band
dar ku-e-nek-nami ma ra guzar na dadand
gar tu ne pasandi taghir kun qaza ra
dariya-e-'ashiqi hai aafat ka mauj angez
aur raat hai andheri mallah ko hai parhez
tufan ne kar diya hai jam-e-hayat-e-labrez
kashti shikastganem ai baad baad-e-shurt barKHez
bashad ki baz binam aan yar aashna ra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.