Sufinama

maktaboñ meñ kahīñ rānāi-e-afkār bhī hai

Allama Iqbal

maktaboñ meñ kahīñ rānāi-e-afkār bhī hai

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    maktaboñ meñ kahīñ rānā.i-e-afkār bhī hai

    ḳhānqāhoñ meñ kahīñ lazzat-e-asrār bhī hai

    manzil-e-rah-ravāñ duur bhī dushvār bhī hai

    koī is qāfile meñ qāfila-sālār bhī hai

    baḌh ke ḳhaibar se hai ye mārka-e-dīn-o-vatan

    is zamāne meñ koī haidar-e-karrār bhī hai

    ilm had se pare banda-e-momin ke liye

    lazzat-e-shauq bhī hai nemat-e-dīdār bhī hai

    pīr-e-mai-ḳhāna ye kahtā hai ki aivān-e-farañg

    sust-buniyād bhī hai ā.īna-dīvār bhī hai

    maktaboñ meñ kahīñ rānāi-e-afkār bhī hai

    ḳhānqāhoñ meñ kahīñ lazzat-e-asrār bhī hai

    manzil-e-rah-rawāñ dur bhī dushwār bhī hai

    koī is qāfile meñ qāfila-sālār bhī hai

    baḌh ke ḳhaibar se hai ye mārka-e-dīn-o-watan

    is zamāne meñ koī haidar-e-karrār bhī hai

    ilm had se pare banda-e-momin ke liye

    lazzat-e-shauq bhī hai nemat-e-dīdār bhī hai

    pīr-e-mai-ḳhāna ye kahtā hai ki aiwān-e-farañg

    sust-buniyād bhī hai āīna-dīwār bhī hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now