Sufinama

tu be-parda ho mahfil mein agar ai fitna-samane

Manzoor Aarfi

tu be-parda ho mahfil mein agar ai fitna-samane

Manzoor Aarfi

MORE BYManzoor Aarfi

    be-parda ho mahfil meñ agar ai fitna-sāmāne

    qiyāmat tak na aa.eñ hosh meñ phir tere dīvāne

    tirī nazroñ ko kyā samjhe vo kyā jaane vo kyā maane

    ki raushan jis ke jalve se hue hoñ ġham ke kāshāne

    na.ī lazzat na.ī mastī Tapaktī hai nigāhoñ se

    tirī āñkheñ haiñ saaqī mai-e-kausar ke paimāne

    ye tafsīl-e-mohabbat hai ye ulfat ḳhulāsa hai

    sulagtī hai udhar sham.eñ idhar jalte haiñ parvāne

    mujhe bhī kar 'atā ik jaam sadqa un nigāhoñ

    chhalak jaate haiñ jin nazroñ se mai-ḳhāne ke mai-ḳhāne

    tire jalve rañgīnī koī pūchhe mire dil se

    kis 'aks hai ai jaañ bhalā ye ġhair kyā jaane

    hai dars apnā yahī 'manzūr' ye ta.alīm hai apnī

    ḳhudā go.e ḳhudā biine ḳhudā daane ḳhudā shāne

    tu be-parda ho mahfil mein agar ai fitna-samane

    qiyamat tak na aaen hosh mein phir tere diwane

    teri nazron ko kya samjhe wo kya jaane wo kya mane

    ki raushan jis ke jalwe se hue hon gham ke kashane

    nai lazzat nai masti Tapakti hai nigahon se

    teri aankhen hain ya saqi mai-e-kausar ke paimane

    ye tafsil-e-mohabbat hai ye ulfat ka KHulasa hai

    sulagti hai udhar shamen idhar jalte hain parwane

    mujhe bhi kar 'ata ek jam sadqa un nigahon ka

    chhalak jate hain jin nazron se mai-KHane ke mai-KHane

    tere jalwe ki rangini koi puchhe mere dil se

    tu kis ka 'aks hai ai jaan bhala ye ghair kya jaane

    hai dars apna yahi 'manzur' ye talim hai apni

    KHuda goe KHuda bine KHuda dane KHuda shane

    Source :
    • Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 102)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now