mahw-e-didar apna sara tan hua
mahv-e-dīdār apnā saarā tan huā
har bun-e-ma.ashūq se rauzan huā
gulban-e-hastī huā apnā qalam
phir jamāl-e-yār se gulshan huā
hai tajallī jān-o-dil meñ jo mire
chehra-e-tābāñ se ye raushan huā
yaar ne jab se kiyā dil meñ qayām
baḌh ke koh-e-tūr se ye tan huā
misl-e-pāras tum ho 'mardān' buujh lo
chhū liyā jis ne vahī kundan huā
mahw-e-didar apna sara tan hua
har bun-e-mashuq se rauzan hua
gulban-e-hasti hua apna qalam
phir jamal-e-yar se gulshan hua
hai tajalli jaan-o-dil mein jo mere
chehra-e-taban se ye raushan hua
yar ne jab se kiya dil mein qayam
baDh ke koh-e-tur se ye tan hua
misl-e-paras tum ho 'mardan' bujh lo
chhu liya jis ne wahi kundan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.