mast aankhon ki qasam khane ka mausam aa gaya
mast āñkhoñ kī qasam khāne kā mausam aa gayā
jaam ko shīshe se Takrāne kā mausam aa gayā
ismat-e-tauba ko Thukrāne kā mausam aa gayā
āgayā pī kar bahak jaane kā mausam aa gayā
phir ghaTā chhā.ī bahak jaane kā mausam aa gayā
jaam kā shīshe kā paimāne kā mausam aa gayā
hashr kā paiġhām lekar uTh rahī hai chashm-e-dost
dil kī har dhaḌkan pe itrāne kā mausam aa gayā
mast aankhon ki qasam khane ka mausam aa gaya
jam ko shishe se Takrane ka mausam aa gaya
ismat-e-tauba ko Thukrane ka mausam aa gaya
aagaya pi kar bahak jaane ka mausam aa gaya
phir ghaTa chhai bahak jaane ka mausam aa gaya
jam ka shishe ka paimane ka mausam aa gaya
hashr ka paigham lekar uTh rahi hai chashm-e-dost
dil ki har dhaDkan pe itrane ka mausam aa gaya
- Book : Shaakh-e-Gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.