maula maula lakh pukaren maula hath na aae
maulā maulā laakh pukāreñ maulā haath na aa.e
lafzoñ se ham khel rahe haiñ ma.anī haath na aa.e
jo paanī ke naam ko jaane paanī hai nā-dānī hai
pānī-pānī karte karte piyāsā hī mar jaa.e
sho.ala-sho.ala raTte-raTte lab par aañch na aa.e
lab par agar chiñgārī rakh lo to lab fauran jal jaa.e
ism pe qaane hone vaalā aur musammā khone vaalā
kaam na karne vaalā mūrakh naam se jī bahlā.e
mashq-e-nām-e-lailā kuchh qais ke kaam na aa.e
lailā-lailā raTte-raTte ḳhud lailā ban jaa.e
maula maula lakh pukaren maula hath na aae
lafzon se hum khel rahe hain mani hath na aae
jo pani ke nam ko jaane pani hai na-dani hai
pani-pani karte karte piyasa hi mar jae
shoala-shoala raTte-raTte lab par aanch na aae
lab par agar chingari rakh lo to lab fauran jal jae
ism pe qane hone wala aur musamma khone wala
kaam na karne wala murakh nam se ji bahlae
mashq-e-nam-e-laila kuchh qais ke kaam na aae
laila-laila raTte-raTte KHud laila ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.