Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mar rahte jo gul bin to sara ye KHalal jata

Meer Taqi Meer

mar rahte jo gul bin to sara ye KHalal jata

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    mar rahte jo gul bin to saarā ye ḳhalal jaatā

    niklā na varna kāñTā nikal jaatā

    paidā hai ki pinhāñ thī ātish-nafasaī merī

    maiñ zabt na karatā to sab shahar ye jal jaatā

    maiñ girya-e-ḳhūnīñ ko roke rahā varna

    ik dam meñ zamāne yaañ rañg badal jaatā

    bin pūchhe karam se vo jo baḳhsh na detā to

    pursish meñ hamārī din hashr Dhal jaatā

    istāda jahāñ maiñ thā maidān mohabbat meñ

    vaañ rustam agar aatā to dekh ke Tal jaatā

    vo sair vaadī ke maa.il na huā varna

    āñkhoñ ko ġhazāloñ paañv tale mil jaatā

    be-tāb-o-tavāñ yuuñ maiñ kaahe ko talaf hotā

    yāqūtī tire lab miltī to sambhal jaatā

    us sīm-badan ko thī kab taab taab itnī

    vo chāñdnī meñ shab hotā to pighal jaatā

    maarā gayā tab guzrā bose se tire lab ke

    kyā 'mīr' bhī laḌkā thā bātoñ meñ bahal jaatā

    mar rahte jo gul bin to sara ye KHalal jata

    nikla hi na ji warna kanTa sa nikal jata

    paida hai ki pinhan thi aatish-nafasai meri

    main zabt na karata to sab shahar ye jal jata

    main girya-e-KHunin ko roke hi raha warna

    ek dam mein zamane ka yan rang badal jata

    bin puchhe karam se wo jo baKHsh na deta to

    pursish mein hamari hi din hashr ka Dhal jata

    istada jahan main tha maidan mohabbat mein

    wan rustam agar aata to dekh ke Tal jata

    wo sair ka wadi ke mail na hua warna

    aankhon ko ghazalon ki panw tale mil jata

    be-tab-o-tawan yun main kahe ko talaf hota

    yaquti tere lab ki milti to sambhal jata

    us sim-badan ko thi kab tab tab itni

    wo chandni mein shab ki hota to pighal jata

    mara gaya tab guzra bose se tere lab ke

    kya 'mir' bhi laDka tha baaton mein bahal jata

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now