tha musta’ar-e-husn se uske jo nur tha
thā musta’ār-e-husn se us ke jo nuur thā
ḳhurshīd meñ bhī us hī kā zarra zuhūr thā
hañgāma garm kun jo dil-e-nā-subūr thā
paidā har ik naale se shor-e-nushūr thā
pahuñchā jo aap ko to maiñ pahuñchā ḳhudā ke ta.iiñ
ma'alūm ab huā ki bahut maiñ bhī duur thā
ātish buland dil kī na thī varna ai kalīm
yak sho.ala-barq ḳhirman-e-sad koh-e-tūr thā
majlis meñ raat ik tire partave baġhair
kyā sham.a kyā patañg har ik be-huzūr thā
mun’im ke paas qāqum-o-sanjāb thā to kyā
us riñd kī bhī raat guzar ga.ī jo ’uur thā
ham ḳhaak meñ mile to mile lekin use sip.har
us shoḳh ko bhī raah par laanā zarūr thā
kal paañv ek kāsa-e-sar par jo aa gayā
yaksar vo ustuḳhvān shikastoñ se chuur thā
kahne lagā ki dekh ke chal raah be-ḳhabar
maiñ bhī kabhū kiso kā sar-e-pur-ġhurūr thā
thā vo to rashk-e-hūr-e-bahishtī hamīñ meñ 'mīr'
samjhe na ham to fahm kā apnī qusūr thā
tha musta’ar-e-husn se us ke jo nur tha
KHurshid mein bhi us hi ka zarra zuhur tha
hangama garm kun jo dil-e-na-subur tha
paida har ek nale se shor-e-nushur tha
pahuncha jo aap ko to main pahuncha KHuda ke tain
ma'alum ab hua ki bahut main bhi dur tha
aatish buland dil ki na thi warna ai kalim
yak shoala-barq KHirman-e-sad koh-e-tur tha
majlis mein raat ek tere partawe baghair
kya shama kya patang har ek be-huzur tha
mun’im ke pas qaqum-o-sanjab tha to kya
us rind ki bhi raat guzar gai jo ’ur tha
hum KHak mein mile to mile lekin use siphar
us shoKH ko bhi rah par lana zarur tha
kal panw ek kasa-e-sar par jo aa gaya
yaksar wo ustuKHwan shikaston se chur tha
kahne laga ki dekh ke chal rah be-KHabar
main bhi kabhu kiso ka sar-e-pur-ghurur tha
tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein 'mir'
samjhe na hum to fahm ka apni qusur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.