mere bane ki baat na puchho mera bana hariyala hai
mere banne kī baat na pūchho merā bannā hariyālā hai
ḳhusrav ḳhūbāñ survar-e-ālam taaj shafā.at vaalā hai
husn ke charche us ke dam se raunaq-e-ālam us ke qadam se
nuur ke sāñche meñ qudrat ne us ko kuchh aisā Dhālā hai
phailā huā hai dāman-e-rahmat kitnī ḳhush-qismat hai ye ummat
saare gunahgāroñ par us ne kamlī kā parda Daalā hai
dekho usī ke nuur se do-jag jagmag jagmag jagmag jagmag
us ke ruḳh-e-raushan hī se to ye saarā ujyālā hai
mai se bhare paimāne haiñ yā mustaqilan mai-ḳhāne haiñ
āñkhoñ meñ āñkheñ mere bane kī kaun aisā matvālā hai
nabī valī sab us ke barātī kis meñ us kī baat hai aatī
'kāmil' merā rāj-dulārā sab se arfa.a-o-a.alā hai
mere banne ki baat na puchho mera banna hariyala hai
KHusraw KHuban surwar-e-alam taj shafaat wala hai
husn ke charche us ke dam se raunaq-e-alam us ke qadam se
nur ke sanche mein qudrat ne us ko kuchh aisa Dhaala hai
phaila hua hai daman-e-rahmat kitni KHush-qismat hai ye ummat
sare gunahgaron par us ne kamli ka parda Dala hai
dekho usi ke nur se do-jag jagmag jagmag jagmag jagmag
us ke ruKH-e-raushan hi se to ye sara ujyala hai
mai se bhare paimane hain ya mustaqilan mai-KHane hain
aankhon mein aankhen mere bane ki kaun aisa matwala hai
nabi wali sab us ke baraati kis mein us ki baat hai aati
'kaamil' mera raj-dulara sab se arfa-o-ala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.