Sufinama

meri aankhon ko baKHshe hain aansu dil ko dagh-e-alam de gae hain

Unknown

meri aankhon ko baKHshe hain aansu dil ko dagh-e-alam de gae hain

Unknown

MORE BYUnknown

    merī āñkhoñ ko baḳhshe haiñ aañsū dil ko dāġh-e-alam de ga.e haiñ

    is 'ināyat pe qurbān jā.ūñ pyaar māñgā thā ġham de ga.e haiñ

    dene aa.e the ham ko tasallī vo tasallī to kyā ham ko dete

    toḌ kar kā’ba-e-dil hamārā hasratoñ ke sanam de ga.e haiñ

    dil taḌaptā hai fariyād kar ke aañkh Dartī hai aañsū bahā ke

    aisī ulfat se vo jāte-jāte mujh ko apnī qasam de ga.e haiñ

    marhabā mai-kashoñ muqaddar ab to piinā 'ibādat hai 'anvar'

    aaj rindoñ ko piine dā’vat vā’iz-e-mohtaram de ga.e haiñ

    meri aankhon ko baKHshe hain aansu dil ko dagh-e-alam de gae hain

    is 'inayat pe qurban jaun pyar manga tha gham de gae hain

    dene aae the hum ko tasalli wo tasalli to kya hum ko dete

    toD kar ka’ba-e-dil hamara hasraton ke sanam de gae hain

    dil taDapta hai fariyaad kar ke aankh Darti hai aansu baha ke

    aisi ulfat se wo jate-jate mujh ko apni qasam de gae hain

    marhaba mai-kashon ka muqaddar ab to pina 'ibaadat hai 'anwar'

    aaj rindon ko pine ki da’wat wa’iz-e-mohtaram de gae hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now