miltī hai ḳhū-e-yār se nar iltihāb meñ
miltī hai ḳhū-e-yār se naar iltihāb meñ
kāfir huuñ gar na miltī ho rāhat azaab meñ
kab se huuñ kyā batā.ūñ jahān-e-ḳharāb meñ
shab-hā-e-hijr ko bhī rakhūñ gar hisāb meñ
tā phir na intizār meñ niiñd aa.e umr bhar
aane kā ahd kar ga.e aa.e jo ḳhvāb meñ
qāsid ke aate aate ḳhat ik aur likh rakhūñ
maiñ jāntā huuñ jo vo likheñge javāb meñ
mujh tak kab un kī bazm meñ aatā thā daur-e-jām
saaqī ne kuchh milā na diyā ho sharāb meñ
jo munkir-e-vafā ho fareb us pe kyā chale
kyuuñ bad-gumāñ huuñ dost se dushman ke baab meñ
maiñ muztarib huuñ vasl meñ ḳhauf-e-raqīb se
Daalā hai tum ko vahm ne kis pech-o-tāb meñ
maiñ aur hazz-e-vasl ḳhudā-sāz baat hai
jaañ nazr denī bhuul gayā iztirāb meñ
hai tevrī chaḌhī huī andar naqāb ke
hai ik shikan paḌī huī tarf-e-naqāb meñ
lākhoñ lagāo ek churānā nigāh kā
lākhoñ banāv ek bigaḌnā itaab meñ
vo naala dil meñ ḳhas ke barābar jagah na paa.e
jis naala se shigāf paḌe āftāb meñ
vo sehr mudd.ā-talabī meñ na kaam aa.e
jis sehr se safīna ravāñ ho sarāb meñ
'ġhālib' chhuTī sharāb par ab bhī kabhī kabhī
piitā huuñ roz-e-abr o shab-e-māhtāb meñ
miltī hai ḳhū-e-yār se nar iltihāb meñ
kāfir huñ gar na miltī ho rāhat azab meñ
kab se huñ kyā batāūñ jahān-e-ḳharāb meñ
shab-hā-e-hijr ko bhī rakhūñ gar hisāb meñ
tā phir na intizār meñ niñd aae umr bhar
aane kā ahd kar gae aae jo ḳhwāb meñ
qāsid ke aate aate ḳhat ek aur likh rakhūñ
maiñ jāntā huñ jo wo likheñge jawāb meñ
mujh tak kab un kī bazm meñ aatā thā daur-e-jām
saqī ne kuchh milā na diyā ho sharāb meñ
jo munkir-e-wafā ho fareb us pe kyā chale
kyuñ bad-gumāñ huñ dost se dushman ke bab meñ
maiñ muztarib huñ wasl meñ ḳhauf-e-raqīb se
Dalā hai tum ko wahm ne kis pech-o-tāb meñ
maiñ aur hazz-e-wasl ḳhudā-sāz baat hai
jañ nazr denī bhul gayā iztirāb meñ
hai tewrī chaḌhī huī andar naqāb ke
hai ek shikan paḌī huī tarf-e-naqāb meñ
lākhoñ lagāo ek churānā nigāh kā
lākhoñ banāw ek bigaḌnā itab meñ
wo nala dil meñ ḳhas ke barābar jagah na pae
jis nala se shigāf paḌe āftāb meñ
wo sehr muddā-talabī meñ na kaam aae
jis sehr se safīna rawāñ ho sarāb meñ
'ġhālib' chhuTī sharāb par ab bhī kabhī kabhī
pitā huñ roz-e-abr o shab-e-māhtāb meñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.