sajda mera wahan ada na hua
sajda merā vahāñ adā na huā
jis jagah terā naqsh-e-pā na huā
jab se nisbat huī tere dar se
terī chaukhaT se sar judā na huā
rāt-din us ko dekhte rahnā
dil merā us se bā-ḳhabar na huā
us ke dāman se mujh ko nisbat hai
maiñ burā hoke bhī burā na huā
vo ḳhudā āshnā nahīñ 'sālik'
ḳhud se jo ḳhud hī āshnā na huā
sajda mera wahan ada na hua
jis jagah tera naqsh-e-pa na hua
jab se nisbat hui tere dar se
teri chaukhaT se sar juda na hua
raat-din us ko dekhte rahna
dil mera us se ba-KHabar na hua
us ke daman se mujh ko nisbat hai
main bura hoke bhi bura na hua
wo KHuda aashna nahin 'salik'
KHud se jo KHud hi aashna na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.