kaba mein kya hai aur shiwale mein kya nahin
kā'ba meñ kyā hai aur shivāle meñ kyā nahīñ
pur-chashm-e-haq-shanās tujhe vā'izā nahīñ
haiñ mubtalā duī meñ ye sab zāhidān-e-shahr
un ahvaloñ ko ek kabhī sūjhtā nahīñ
kyā kufr hai muqīm jo ham dair meñ hue
vo kaun sā maqām hai jis meñ ḳhudā nahīñ
kyuuñ kar na samjhūñ bāda-parastī ko dīn-e-haq
maiñ rind-e-’ishq-bāz huuñ kuchh pārsā nahīñ
dā’vā liqā-e-yār kā dā’vā hai be-dalīl
sūrat se apne aap abhī āshnā nahīñ
taq.īd se jo maiñ su-e-itlāq aa gayā
dekhā jidhar vahī hai koī dosrā nahīñ
kī sair maiñ ne gulshan-e-ījād kī magar
hargiz nazar meñ rañg duī kā jamā nahīñ
mānind-e-sāya aaTh pahar sāth-sāth huuñ
qadmoñ se maiñ huzūr ke yak dam judā nahīñ
har har jihat meñ phirte haiñ badlā ke bhes ko
haiñ aap hī aap ġhair nahīñ hai sivā nahīñ
batlā.ūñgā ḳhudā kā patā kyā kisī ko maiñ
mā'lūm aaj tak mujhe merā patā nahīñ
vahdat kī sair rahtī hai kasrat meñ bhī hameñ
apnī nazar meñ tere sivā dosrā nahīñ
karte haiñ be-dahān-o-zabāñ guftugū vo 'faiz'
aisā kalām ham ne kisī kā sunā nahīñ
ka'ba mein kya hai aur shiwale mein kya nahin
pur-chashm-e-haq-shanas tujhe wa'iza nahin
hain mubtala dui mein ye sab zahidan-e-shahr
un ahwalon ko ek kabhi sujhta nahin
kya kufr hai muqim jo hum dair mein hue
wo kaun sa maqam hai jis mein KHuda nahin
kyun kar na samjhun baada-parasti ko din-e-haq
main rind-e-’ishq-baz hun kuchh parsa nahin
da’wa liqa-e-yar ka da’wa hai be-dalil
surat se apne aap abhi aashna nahin
taqid se jo main su-e-itlaq aa gaya
dekha jidhar wahi hai koi dosra nahin
ki sair main ne gulshan-e-ijad ki magar
hargiz nazar mein rang dui ka jama nahin
manind-e-saya aaTh pahar sath-sath hun
qadmon se main huzur ke yak dam juda nahin
har har jihat mein phirte hain badla ke bhes ko
hain aap hi aap ghair nahin hai siwa nahin
batlaunga KHuda ka pata kya kisi ko main
ma'lum aaj tak mujhe mera pata nahin
wahdat ki sair rahti hai kasrat mein bhi hamein
apni nazar mein tere siwa dosra nahin
karte hain be-dahan-o-zaban guftugu wo 'faiz'
aisa kalam hum ne kisi ka suna nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.