meri zist pur-masarrat kabhi thi na hai na hogi
meri zist pur-masarrat kabhi thi na hai na hogi
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
mirī ziist pur-masarrat kabhī thī na hai na hogī
koī behtarī kī sūrat kabhī thī na hai na hogī
mujhe husn ne satāyā mujhe 'ishq ne miTāyā
kisī aur kī ye hālat kabhī thī na hai na hogī
jo hai gardishoñ ne gherā to nasīb hai ye merā
mujhe aap se shikāyat kabhī thī na hai na hogī
tire dar se bhī nibāhe dar-e-ġhair ko bhī chāhe
mire sar ko ye ijāzat kabhī thī na hai na hogī
tirā naam tak bhulā duuñ tirī yaad tak miTā duuñ
mujhe is tarah kī jur.at kabhī thī na hai na hogī
maiñ ye jānte hue bhī tirī anjuman meñ aayā
ki tujhe mirī zarūrat kabhī thī na hai na hogī
tirā husn hai yagāna tire saath hai zamāna
mire saath merī qismat kabhī thī na hai na hogī
ye karam hai dostoñ kā jo vo kah rahe haiñ sab se
ki 'nasīr' par 'ināyat kabhī thī na hai na hogī
meri zist pur-masarrat kabhi thi na hai na hogi
koi behtari ki surat kabhi thi na hai na hogi
mujhe husn ne sataya mujhe 'ishq ne miTaya
kisi aur ki ye haalat kabhi thi na hai na hogi
jo hai gardishon ne ghera to nasib hai ye mera
mujhe aap se shikayat kabhi thi na hai na hogi
tere dar se bhi nibahe dar-e-ghair ko bhi chahe
mere sar ko ye ijazat kabhi thi na hai na hogi
tera nam tak bhula dun teri yaad tak miTa dun
mujhe is tarah ki jurat kabhi thi na hai na hogi
main ye jaante hue bhi teri anjuman mein aaya
ki tujhe meri zarurat kabhi thi na hai na hogi
tera husn hai yagana tere sath hai zamana
mere sath meri qismat kabhi thi na hai na hogi
ye karam hai doston ka jo wo kah rahe hain sab se
ki 'nasir' par 'inayat kabhi thi na hai na hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.