Font by Mehr Nastaliq Web

aadam ko KHilafat ka jab mil gaya parwana

Shaah Faaiq Shahbazi

aadam ko KHilafat ka jab mil gaya parwana

Shaah Faaiq Shahbazi

aadam ko ḳhilāfat jab mil gayā parvāna

phir kyuuñ na adā karte vo sajda-e-shukrāna

hai pesh-e-nazar har jalva jalva-e-jānāna

bahs is se nahīñ mujh ko ka.aba ho ki but-ḳhāna

aġhyār se ḳhālī hai dil mire kāshāna

hai jalva-numā us meñ vo jalva-e-jānāna

vo jalva-numā tujh meñ tu DhūñDhtā phirtā hai

majnūñ tarah ai dil kyā bhī hai dīvāna

kuchh pūchh na mujh se ai zāhid-e-zāhir-bīñ

hai 'ishq mirā maz.hab mashrab mirā rindāna

us 'ishq manzil meñ hai kaun mirā sāthī

terā bharosa hai ai himmat-e-mardāna

insāñ sifat aa.ī tab ādam-o-havvā meñ

iblīs ne gandum khilvā diyā jab daana

manzūr huā haq ko iz.hār ḳhudā.ī

ik dāna-e-gandum se 'ālam hai afsāna

peshānī-e-ādam meñ kyā chiiz amānat thī

vo nūr-e-mohammad thā sab jis ke the parvāna

us gesū-e-mushkīñ saudā hai mire sar meñ

jo dekhtā kahtā hai achchhā hai ye dīvāna

'iisā se nahīñ matlab jaanā hai madīne ko

bīmār-e-mohabbat us hai shifā-ḳhāna

jaatī rahī 'ālam se vo kufr mad-mastī

jaarī huā jis din se tauhīd mai-ḳhāna

rishta hai lagā ‘fā.iq’ bas ek donoñ meñ

maalā meñ bhī daana hai tasbīh meñ bhī daana

aadam ko KHilafat ka jab mil gaya parwana

phir kyun na ada karte wo sajda-e-shukrana

hai pesh-e-nazar har jalwa jalwa-e-jaanana

bahs is se nahin mujh ko kaba ho ki but-KHana

aghyar se KHali hai dil ka mere kashana

hai jalwa-numa us mein wo jalwa-e-jaanana

wo jalwa-numa tujh mein tu DhunDhta phirta hai

majnun ki tarah ai dil kya tu bhi hai diwana

kuchh puchh na tu mujh se ai zahid-e-zahir-bin

hai 'ishq mera mazhab mashrab mera rindana

us 'ishq ki manzil mein hai kaun mera sathi

tera hi bharosa hai ai himmat-e-mardana

insan ki sifat aai tab aadam-o-hawwa mein

iblis ne gandum ka khilwa diya jab dana

manzur hua haq ko izhaar KHudai ka

ek dana-e-gandum se 'alam ka hai afsana

peshani-e-adam mein kya chiz amanat thi

wo nur-e-mohammad tha sab jis ke the parwana

us gesu-e-mushkin ka sauda hai mere sar mein

jo dekhta kahta hai achchha hai ye diwana

'isa se nahin matlab jaana hai madine ko

bimar-e-mohabbat ka us ja hai shifa-KHana

jati rahi 'alam se wo kufr ki mad-masti

jari hua jis din se tauhid ka mai-KHana

rishta hai laga ‘faiq’ bas ek hi donon mein

mala mein bhi dana hai tasbih mein bhi dana

Source :
  • Book : Armaghan-e-Faaeq (Pg. 104)

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now