Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tamam aalam mein humne dekha usi ka jalwa chamak raha hai

Tasadduq Ali Asad

tamam aalam mein humne dekha usi ka jalwa chamak raha hai

Tasadduq Ali Asad

tamām 'ālam meñ ham ne dekhā usī jalva chamak rahā hai

ye us qudrat hai tamāsha sadaf meñ gauhar damak rahā hai

kahīñ hai nasrīñ kahīñ hai vo gul kahīñ hai laala kahīñ hai sumbul

ḳhud apnī hamd-o-sanā meñ ai dil vo ban ke ġhuncha chaTak rahā hai

fazā-e-bāġh-e-jināñ meñ kar jo ban ke bād-e-sabā chalā vo

to us nik.hat se gul chaman meñ ḳhutan meñ aahū bhaTak rahā hai

uThā ke ġhaflat dil se parda jo laus duniyā ko ham ne chhoḌā

to chashm-e-bātin se us ko dekhā har ek sūrat chamak rahā hai

kahīñ hai 'āshiq kahīñ hai dilbar karishma lākhoñ hamīñ ne dekhā

hamāre dil meñ makāñ banā kar ba-rañg-e-bulbul chahak rahā hai

na kā’ba meñ hai na dair meñ hai na hai haram meñ na but-kade meñ

to dekh us ko vo hai tujhī meñ suhā abas bhaTak rahā hai

tamam 'alam mein hum ne dekha usi ka jalwa chamak raha hai

ye us ki qudrat ka hai tamasha sadaf mein gauhar damak raha hai

kahin hai nasrin kahin hai wo gul kahin hai lala kahin hai sumbul

KHud apni hamd-o-sana mein ai dil wo ban ke ghuncha chaTak raha hai

faza-e-bagh-e-jinan mein ja kar jo ban ke baad-e-saba chala wo

to us ki nikhat se gul chaman mein KHutan mein aahu bhaTak raha hai

uTha ke ghaflat ka dil se parda jo laus duniya ko hum ne chhoDa

to chashm-e-baatin se us ko dekha har ek surat chamak raha hai

kahin hai 'ashiq kahin hai dilbar karishma lakhon hamin ne dekha

hamare dil mein makan bana kar ba-rang-e-bulbul chahak raha hai

na ka’ba mein hai na dair mein hai na hai haram mein na but-kade mein

to dekh us ko wo hai tujhi mein suha abas hi bhaTak raha hai

Source :
  • Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 424)

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now