Font by Mehr Nastaliq Web

wo dil hi kya ki jis mein teri justuju na ho

Shaah Faaiq Shahbazi

wo dil hi kya ki jis mein teri justuju na ho

Shaah Faaiq Shahbazi

vo dil kyā ki jis meñ tirī justujū na ho

kis kaam zabāñ jo tirī guftugū na ho

mumkin nahīñ ki dil ho tirī aarzū na ho

kyā baat hai ki lab pe tirī guftugū na ho

bulbul chaman meñ kab ho guloñ par farefta

gar un meñ terā rañg na ho terī na ho

terā jalva jab hai har ik shai meñ āshakār

tuutī phir zabān pe kyuuñ na ho

gar yād-e-mā-sivā se ho ḳhālī dil-e-bashar

mumkin nahīñ ki jalva-numā us meñ na ho

hotā hai ḳhud-shanās 'fā.iq' ḳhudā-shanās

āvāra justujū meñ 'abas kū-ba-kū na ho

wo dil hi kya ki jis mein teri justuju na ho

kis kaam ki zaban jo teri guftugu na ho

mumkin nahin ki dil ho teri aarzu na ho

kya baat hai ki lab pe teri guftugu na ho

bulbul chaman mein kab ho gulon par farefta

gar un mein tera rang na ho teri bu na ho

tera hi jalwa jab hai har ek shai mein aashakar

tuti ki phir zaban pe kyun tu hi tu na ho

gar yaad-e-ma-siwa se ho KHali dil-e-bashar

mumkin nahin ki jalwa-numa us mein tu na ho

hota hai KHud-shanas hi 'faiq' KHuda-shanas

aawara justuju mein 'abas ku-ba-ku na ho

Source :
  • Book : Armaghan-e-Faaeq (Pg. 61)

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now