hum aap bhale aur yar bhala
ham aap bhale aur yaar bhalā
bā-kār bhalā be-kār bhalā
vo aa.e 'iyādat ko apnī
achchhe se to bīmār bhalā
hañsnā mat tū zaḳhm-e-dil
hoñge ḳhafā sarkār bhalā
dil kī kashtī-e-nafs Dubo de
jaanā hai samundar paar bhalā
nāseh tū dīvāna na ban
dīvāne se hushiyār bhalā
haath to jaañ se dho kar jā
bāñkā hai vo dildār bhalā
jannat dozaḳh bhaaḌ meñ jaa.e
chashm-e-dil dildār bhalā
hum aap bhale aur yar bhala
ba-kar bhala be-kar bhala
wo aae 'iyaadat ko apni
achchhe se to bimar bhala
hansna mat tu zaKHm-e-dil
honge KHafa sarkar bhala
dil ki kashti-e-nafs Dubo de
jaana hai samundar par bhala
naseh tu diwana na ban
diwane se hushiyar bhala
hath to jaan se dho kar ja
banka hai wo dildar bhala
jannat dozaKH bhaD mein jae
chashm-e-dil dildar bhala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.