main bhi adna saqiya tere talab-garon mein hun

main bhi adna saqiya tere talab-garon mein hun
Muhammad Badshah Qadeer
MORE BYMuhammad Badshah Qadeer
maiñ bhī adnā sāqiyā tere talab-gāroñ meñ huuñ
chaudhvīñ kā chāñd tū hai maiñ tire tāroñ meñ huuñ
kyā bayāñ zinda-navāzī kā kare ik-ik murīd
murda-dil zinda kiyā tū tere dil-dāroñ meñ huuñ
masti-e-sīna ba-sīna mast ham saaqī alast
dam-badam hamdam ravāñ chaubīs hazār tāroñ meñ huuñ
hai buland dast-e-du'ā lā-intihā hai mudda'ā
maiñ na mānūñgā kabhī bar-lā maiñ haq-dāroñ meñ huuñ
mere hisse kī mujhe de sāqiyā baaqī jo hai
maiñ tire mai-ḳhvāroñ ke pā-posh bardāroñ meñ huuñ
dam-badam bā-kār huuñ be-kār se muñh pher luuñ
ho 'atā itnī 'atā maiñ tere āh-zaroñ meñ huuñ
shaiḳh kī tasvīr ham ne aate jaate dam-badam
khīñch lī dil se 'qadīr' ḳhud maiñ parastāroñ meñ huuñ
main bhi adna saqiya tere talab-garon mein hun
chaudhwin ka chand tu hai main tere taron mein hun
kya bayan zinda-nawazi ka kare ik-ik murid
murda-dil zinda kiya tu tere dil-daron mein hun
masti-e-sina ba-sina mast hum saqi alast
dam-badam hamdam rawan chaubis hazar taron mein hun
hai buland dast-e-du'a la-intiha hai mudda'a
main na manunga kabhi bar-la main haq-daron mein hun
mere hisse ki mujhe de saqiya baqi jo hai
main tere mai-KHwaron ke pa-posh bardaron mein hun
dam-badam ba-kar hun be-kar se munh pher lun
ho 'ata itni 'ata main tere aah-zaron mein hun
shaiKH ki taswir hum ne aate jate dam-badam
khinch li dil se 'qadir' KHud main parastaron mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.