duniya ke chaman mein pir mera diwana bana kar chhoD diya

duniya ke chaman mein pir mera diwana bana kar chhoD diya
Muhammad Badshah Qadeer
MORE BYMuhammad Badshah Qadeer
duniyā ke chaman meñ piir merā dīvāna banā kar chhoḌ diyā
har gul meñ shajar meñ qudrat kā mujhe rañg dikhā kar chhoḌ diyā
ik jaam pilā kar mast kiyā mere hosh nahīñ haiñ mujh meñ bajā
is banda-e-haqīr-e-nā-chīz ko ik chiiz banā kar chhoḌ diyā
altāf-e-karam mere murshid kā maiñ bhūlā nahīñ mujhe yaad hai sab
'irfān ke dariyā meñ mujh ko ik ġhota lagā kar chhoḌ diyā
mere chāhne vaalo kah do zarā dekho kaisā fazl murshid kā huā
ruuyā maiñ dikhā kar sūrat ko mastāna banā kar chhoḌ diyā
aayā tū nazar mujhe misl-e-qamar parvāna huuñ terā ai dilbar
haq-haq kī bāteñ mujh ko sunā durdāna banā kar chhoḌ diyā
nairañgī-e-tamāsha mujh ko dikhā dekhā maiñ har shai meñ hai ḳhudā
nahno-aqrab kī aayat mujh ko paḌhā mere dil ko lubhā kar chhoḌ diyā
ai sayyad mohammad jaan 'qadīr' terī sūrat meñ hai bhed chhupā
dīvāna karīmullāh ne dīvāna banā kar chhoḌ diyā
duniya ke chaman mein pir mera diwana bana kar chhoD diya
har gul mein shajar mein qudrat ka mujhe rang dikha kar chhoD diya
ek jam pila kar mast kiya mere hosh nahin hain mujh mein baja
is banda-e-haqir-e-na-chiz ko ek chiz bana kar chhoD diya
altaf-e-karam mere murshid ka main bhula nahin mujhe yaad hai sab
'irfan ke dariya mein mujh ko ek ghota laga kar chhoD diya
mere chahne walo kah do zara dekho kaisa fazl murshid ka hua
ruya main dikha kar surat ko mastana bana kar chhoD diya
aaya tu nazar mujhe misl-e-qamar parwana hun tera ai dilbar
haq-haq ki baaten mujh ko suna durdana bana kar chhoD diya
nairangi-e-tamasha mujh ko dikha dekha main har shai mein hai KHuda
nahno-aqrab ki aayat mujh ko paDha mere dil ko lubha kar chhoD diya
ai sayyad mohammad jaan 'qadir' teri surat mein hai bhed chhupa
diwana karimullah ne diwana bana kar chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.