Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kaisa tere maqtal mein tamasha nazar aaya

Muhammad Samie

kaisa tere maqtal mein tamasha nazar aaya

Muhammad Samie

MORE BYMuhammad Samie

    kaisā tere maqtal meñ tamāshā nazar aayā

    gardan kaTī usī jo shaidā nazar aayā

    sajda jo kiyā haar ke duniyā jafā se

    aa.ī sadā āḳhir merā dar nazar aayā

    hairat meñ huuñ kis baat hai mujh pe 'ināyat

    mujhe kam-tar-o-bad-tar meñ tujhe kyā nazar aayā

    kaise maiñ kahūñ ye ki nazroñ se chhupā hai

    sab chhoḌ ga.e jab tanhā nazar aayā

    rū-ba-rū ho kar bhī nigāhoñ se chhupā hai

    ho ke 'ayāñ bhī pas-e-parda nazar aayā

    guzrā jo tasavvur meñ terī rāh-e-fanā se

    haidar kahīñ shabbīr-o-qalandar nazar aayā

    merā bhī ḳhāliq hai mohammad bhī ḳhāliq

    kaisā ye ḳhatā-kār ko rishta nazar aayā

    laakh chhupe mujh se ai do-'ālam

    har zarra terā parda uThātā nazar aayā

    kaisa tere maqtal mein tamasha nazar aaya

    gardan kaTi usi ki jo shaida nazar aaya

    sajda jo kiya haar ke duniya ki jafa se

    aai sada aaKHir mera hi dar nazar aaya

    hairat mein hun kis baat ki hai mujh pe 'inayat

    mujhe kam-tar-o-bad-tar mein tujhe kya nazar aaya

    kaise main kahun ye ki tu nazron se chhupa hai

    sab chhoD gae jab tu hi tanha nazar aaya

    tu ru-ba-ru ho kar bhi nigahon se chhupa hai

    tu ho ke 'ayan bhi pas-e-parda nazar aaya

    guzra jo tasawwur mein teri rah-e-fana se

    haidar kahin shabbir-o-qalandar nazar aaya

    tu mera bhi KHaliq hai mohammad ka bhi KHaliq

    kaisa ye KHata-kar ko rishta nazar aaya

    tu lakh chhupe mujh se ai do-'alam

    har zarra tera parda uThata nazar aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now