daulat na jah-o-mansab na jism-e-jawidan hai
daulat na jāh-o-mansab na jism-e-jāvidāñ hai
zāt-e-bashar kī manzil bas shahr-e-ḳhamoshāñ hai
ham ne to yahī dekhā duniyā terī mahfil meñ
jis ko hai talab jitnī itnā hī pareshāñ hai
'ilm-ul-kitāb tujh ko aatā hai agar vā'iz
kyuuñ rāz-e-jahāñ terī idrāk se pinhāñ hai
tum ne jo basārat dī ham ne tabhī pahchānā
ham jis ko ḳhudā samjhe ik banda-e-yazdāñ hai
hai inqilāb lāzim fikr-o-’amal meñ varna
haivāñ meñ aur bashar meñ kuchh farq hī kahāñ hai
daulat na jah-o-mansab na jism-e-jawidan hai
zat-e-bashar ki manzil bas shahr-e-KHamoshan hai
hum ne to yahi dekha duniya teri mahfil mein
jis ko hai talab jitni itna hi pareshan hai
'ilm-ul-kitab tujh ko aata hai agar wa'iz
kyun raaz-e-jahan teri idrak se pinhan hai
tum ne jo basarat di hum ne tabhi pahchana
hum jis ko KHuda samjhe ek banda-e-yazdan hai
hai inqilab lazim fikr-o-’amal mein warna
haiwan mein aur bashar mein kuchh farq hi kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.