yasrib ke basayya man-mohan meri birh-agan ko bujha dena
yasrib ke basayyā man-mohan mirī birh-agan ko bujhā denā
morī biich meñ nayyā Dūbat hai mohe kunD se paar lañghā denā
tore charnoñ meñ siis navā.ūñ piyā tore al-bal par kamarvā rohiyā
more sapnā meñ aa ke kabhī to sajan jari chāñd sā mukhḌā dikhā denā
mohe raat añdherī kāTat hai aur bijlī chamak ke Darāvat hai
morā jiyarā thar-thar kāñpat hai mujhe hijr ke ġham se chhuḌā denā
morī rote hī rote 'umariyā kaTī torī baat na sunñī nasīb huī
tore payyāñ parūñ yasrib ke dhanī koī baat to mukh se sunā denā
jiyā tarsat hai tore dekhan ko aur nain marat maiñ darshan ko
ghūñgaT se dikhā de joban ko jarā parda ko mukh se haTā denā
dil chhīn liyo āñkheñ ko milā mukh pher liyo chistoñ ko dekhā
kyuuñ mujh se pyāre ruuTh rahā more divas kī baat batā denā
tore duvāre pe agar siis dharūñ tire rauza kī al-bal ho ke phirūñ
nahīñ aas kī hind meñ jiitā rahūñ merī jaan alam se bachā denā
morā maas badan kā suukh gayo more bāḌoñ ko buz ne khaa.e liyo
more tan ko agan ne jalā diyo use ābf-e-karam se bhujā denā
dukh aan paḌho 'mumtāz' paap kirpā kī ba-juz shāh-e-'arab
morā hind meñ rahnā hai ab to gajab mohe mulk-e-'arab meñ basā denā
yasrib ke basayya man-mohan meri birh-agan ko bujha dena
mori bich mein nayya Dubat hai mohe kunD se par langha dena
tore charnon mein sis nawaun piya tore al-bal par kamarwa rohiya
more sapna mein aa ke kabhi to sajan jari chand sa mukhDa dikha dena
mohe raat andheri kaTat hai aur bijli chamak ke Darawat hai
mora jiyara thar-thar kanpat hai mujhe hijr ke gham se chhuDa dena
mori rote hi rote 'umariya kaTi tori baat na sunni nasib hui
tore payyan parun yasrib ke dhani koi baat to mukh se suna dena
jiya tarsat hai tore dekhan ko aur nain marat main darshan ko
ghungaT se dikha de joban ko jara parda ko mukh se haTa dena
dil chhin liyo aankhen ko mila mukh pher liyo chiston ko dekha
kyun mujh se pyare ruTh raha more diwas ki baat bata dena
tore duware pe agar sis dharun tere rauza ki al-bal ho ke phirun
nahin aas ki hind mein jita rahun meri jaan alam se bacha dena
mora mas badan ka sukh gayo more baDon ko buz ne khae liyo
more tan ko agan ne jala diyo use aabf-e-karam se bhuja dena
dukh aan paDho 'mumtaz' pap kirpa ki ba-juz shah-e-'arab
mora hind mein rahna hai ab to gajab mohe mulk-e-'arab mein basa dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.