dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha
dard-e-dil bhī ġham-e-daurāñ ke barābar se uThā
aag sahrā meñ lagī aur dhuāñ ghar se uThā
tābish-e-husn bhī thī ātish-e-duniyā bhī magar
sho'la jis ne mujhe phūñkā mire andar se uThā
kisī mausam kī faqīroñ ko zarūrat na rahī
aag bhī abr bhī tūfān bhī sāġhar se uThā
be-sadaf kitne hī dariyāoñ se kuchh bhī na huā
bojh qatre kā thā aisā ki samundar se uThā
chāñd se shikva-ba-lab huuñ ki silāyā kyuuñ thā
maiñ ki ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kī Thokar se uThā
dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha
aag sahra mein lagi aur dhuan ghar se uTha
tabish-e-husn bhi thi aatish-e-duniya bhi magar
sho'la jis ne mujhe phunka mere andar se uTha
kisi mausam ki faqiron ko zarurat na rahi
aag bhi abr bhi tufan bhi saghar se uTha
be-sadaf kitne hi dariyaon se kuchh bhi na hua
bojh qatre ka tha aisa ki samundar se uTha
chand se shikwa-ba-lab hun ki silaya kyun tha
main ki KHurshid-e-jahan-tab ki Thokar se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.