dil ne diwana-e-mashuq banaya mujhko
dil ne dīvāna-e-mā'shūq banāyā mujh ko
ḳhāna-barbād kiyā sab ne chhuḌāyā mujh ko
haa.e kis vaqt meñ ḳhāliq ne banāyā mujh ko
ki hamesha ġham-e-furqat meñ rulāyā mujh ko
kūcha-e-zulf banā bhūl-bhulayyāñ ai dil
aisā khoyā ki kisī ne bhī na paayā mujh ko
be-kasī turbat-e-‘muztar’ pe ye chillātī hai
tere sadqe ga.e kyuuñ tū ne bulāyā mujh ko
dil ne diwana-e-ma'shuq banaya mujh ko
KHana-barbaad kiya sab ne chhuDaya mujh ko
hae kis waqt mein KHaliq ne banaya mujh ko
ki hamesha gham-e-furqat mein rulaya mujh ko
kucha-e-zulf bana bhul-bhulayyan ai dil
aisa khoya ki kisi ne bhi na paya mujh ko
be-kasi turbat-e-‘muztar’ pe ye chillati hai
tere sadqe gae kyun tu ne bulaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.