Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nāhaq shikāyat-e-ġham-e-duniyā kare koī

Seemab Akbarabadi

nāhaq shikāyat-e-ġham-e-duniyā kare koī

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    nāhaq shikāyat-e-ġham-e-duniyā kare koī

    ġham hai baḌī ḳhushī jo gavārā kare koī

    rag rag meñ dil jazb hai mahshar-e-umīd

    andāza-e-hujūm-e-tamanna kare koī

    hai un ke āstāñ pe hujūm-e-ġhurūr-o-nāz

    gunjā.ish-e-jabīñ ho to sajda kare koī

    yūsuf ġhayūr fitrat-e-yūsuf ġhayūr-e-tar

    kyā e'tibār-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā kare koī

    har shaḳhs hai ḳharāb-e-tamannā ba-qadr-e-zauq

    'sīmāb' kis se arz-e-tamannā kare koī

    nāhaq shikāyat-e-ġham-e-duniyā kare koī

    ġham hai baḌī ḳhushī jo gawārā kare koī

    rag rag meñ dil jazb hai mahshar-e-umīd

    andāza-e-hujūm-e-tamanna kare koī

    hai un ke āstāñ pe hujūm-e-ġhurūr-o-nāz

    gunjāish-e-jabīñ ho to sajda kare koī

    yūsuf ġhayūr fitrat-e-yūsuf ġhayūr-e-tar

    kyā e'tibār-e-ḳhwāb-e-zuleḳhā kare koī

    har shaḳhs hai ḳharāb-e-tamannā ba-qadr-e-zauq

    'sīmāb' kis se arz-e-tamannā kare koī

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now