Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

na gul-e-naġhma huñ na parda-e-sāz

Mirza Ghalib

na gul-e-naġhma huñ na parda-e-sāz

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    na gul-e-naġhma huuñ na parda-e-sāz

    maiñ huuñ apnī shikast āvāz

    aur ārā.ish-e-ḳham-e-kākul

    maiñ aur andesha-hā-e-dūr-darāz

    lāf-e-tamkīñ fareb-e-sāda-dilī

    ham haiñ aur rāz-hā-e-sīna-gudāz

    huuñ giraftār-e-ulfat-e-sayyād

    varna baaqī hai tāqat-e-parvāz

    vo bhī din ho ki us sitamgar se

    naaz khīñchūñ bajā.e hasrat-e-nāz

    nahīñ dil meñ mire vo qatra-e-ḳhūñ

    jis se mizhgāñ huī na ho gul-bāz

    ai tirā ġhamza yak-qalam-añgez

    ai tirā zulm sar-ba-sar andāz

    huā jalva-gar mubārak ho

    rezish-e-sajda-e-jabīn-e-niyāz

    mujh ko pūchhā to kuchh ġhazab na huā

    maiñ ġharīb aur ġharīb-navāz

    'asad'-ullāh ḳhaañ tamām huā

    ai dareġhā vo rind-e-shāhid-bāz

    na gul-e-naġhma huñ na parda-e-sāz

    maiñ huñ apnī shikast āwāz

    aur ārāish-e-ḳham-e-kākul

    maiñ aur andesha-hā-e-dūr-darāz

    lāf-e-tamkīñ fareb-e-sāda-dilī

    hum haiñ aur rāz-hā-e-sīna-gudāz

    huñ giraftār-e-ulfat-e-sayyād

    warna baqī hai tāqat-e-parwāz

    wo bhī din ho ki us sitamgar se

    naz khīñchūñ bajāe hasrat-e-nāz

    nahīñ dil meñ mere wo qatra-e-ḳhūñ

    jis se mizhgāñ huī na ho gul-bāz

    ai tirā ġhamza yak-qalam-añgez

    ai tirā zulm sar-ba-sar andāz

    huā jalwa-gar mubārak ho

    rezish-e-sajda-e-jabīn-e-niyāz

    mujh ko pūchhā to kuchh ġhazab na huā

    maiñ ġharīb aur ġharīb-nawāz

    'asad'-ullāh ḳhañ tamām huā

    ai dareġhā wo rind-e-shāhid-bāz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now