na hai but-kada ki talab mujhe na haram ke dar ki talash hai
na hai but-kada ki talab mujhe na haram ke dar ki talash hai
Ameer Bakhsh Sabri
MORE BYAmeer Bakhsh Sabri
na hai but-kada kī talab mujhe na haram ke dar kī talāsh hai
jahāñ luT gayā hai sukūn-e-dil usī rahguzar kī talāsh hai
mere zauq-e-sajda-e-bandagī ko atā huī hai ye be-ḳhudī
tere sañg-e-dar pe pahuñche bhī tere sañg-e-dar kī talāsh hai
tū haram meñ jis ko hai DhūñDhtā mujhe but-kada vo mil gayā
tujhe kyā malāl hai zāhidā ye nazar nazar kī talāsh hai
ai tabīb haT jā parai zarā maiñ marīz-e-ishq huuñ lā-davā
mujhe jis ne dard atā kiyā usī chāra-gar kī talāsh hai
jo ġham-e-hayāt ko luuT le usī rāhzan kī hai justujū
jo charāġh-e-manzil-e-ishq ho usī rāhbar kī talāsh hai
merī zindagī hai ye zindagī tere ishq kī na bujhe lagī
tere DhūñDhne meñ jo gum huī mujhe us nazar kī talāsh hai
ye hai vo maqām ki jis jagah ye 'amīr'-e-sābrī kho gayā
na rahī hai jalvoñ kī aarzū na hī jalva-gar kī talāsh hai
na hai but-kada ki talab mujhe na haram ke dar ki talash hai
jahan luT gaya hai sukun-e-dil usi rahguzar ki talash hai
mere zauq-e-sajda-e-bandagi ko ata hui hai ye be-KHudi
tere sang-e-dar pe pahunche bhi tere sang-e-dar ki talash hai
tu haram mein jis ko hai DhunDhta mujhe but-kada wo mil gaya
tujhe kya malal hai zahida ye nazar nazar ki talash hai
ai tabib haT ja parai zara main mariz-e-ishq hun la-dawa
mujhe jis ne dard ata kiya usi chaara-gar ki talash hai
jo gham-e-hayat ko luT le usi rahzan ki hai justuju
jo charagh-e-manzil-e-ishq ho usi rahbar ki talash hai
meri zindagi hai ye zindagi tere ishq ki na bujhe lagi
tere DhunDhne mein jo gum hui mujhe us nazar ki talash hai
ye hai wo maqam ki jis jagah ye 'amir'-e-sabri kho gaya
na rahi hai jalwon ki aarzu na hi jalwa-gar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.