āīna kyuñ na duñ ki tamāshā kaheñ jise
ā.īna kyuuñ na duuñ ki tamāshā kaheñ jise
aisā kahāñ se lā.ūñ ki tujh sā kaheñ jise
hasrat ne lā rakhā tirī bazm-e-ḳhayāl meñ
gul-dasta-e-nigāh suvaidā kaheñ jise
phūñkā hai kis ne gosh-e-mohabbat meñ ai ḳhudā
afsūn-e-intizār tamannā kaheñ jise
sar par hujūm-e-dard-e-ġharībī se Dāliye
vo ek musht-e-ḳhāk ki sahrā kaheñ jise
hai chashm-e-tar meñ hasrat-e-dīdār se nihāñ
shauq-e-ināñ guseḳhta dariyā kaheñ jise
darkār hai shaguftan-e-gul-hā-e-aish ko
sub.h-e-bahār pumba-e-mīnā kaheñ jise
'ġhālib' burā na maan jo vaa.iz burā kahe
aisā bhī koī hai ki sab achchhā kaheñ jise
yā rab hameñ to ḳhvāb meñ bhī mat dikhā.iyo
ye mahshar-e-ḳhayāl ki duniyā kaheñ jise
hai intizār se sharar ābād rustaḳhez
mizhgān-e-koh-kan rag-e-ḳhārā kaheñ jise
kis fursat-e-visāl pe hai gul ko andalīb
zaḳhm-e-firāq ḳhanda-e-be-jā kaheñ jise
āīna kyuñ na duñ ki tamāshā kaheñ jise
aisā kahāñ se lāūñ ki tujh sā kaheñ jise
hasrat ne lā rakhā tirī bazm-e-ḳhayāl meñ
gul-dasta-e-nigāh suwaidā kaheñ jise
phūñkā hai kis ne gosh-e-mohabbat meñ ai ḳhudā
afsūn-e-intizār tamannā kaheñ jise
sar par hujūm-e-dard-e-ġharībī se Dāliye
wo ek musht-e-ḳhāk ki sahrā kaheñ jise
hai chashm-e-tar meñ hasrat-e-dīdār se nihāñ
shauq-e-ināñ guseḳhta dariyā kaheñ jise
darkār hai shaguftan-e-gul-hā-e-aish ko
subh-e-bahār pumba-e-mīnā kaheñ jise
'ġhālib' burā na man jo waiz burā kahe
aisā bhī koī hai ki sab achchhā kaheñ jise
yā rab hameñ to ḳhwāb meñ bhī mat dikhāiyo
ye mahshar-e-ḳhayāl ki duniyā kaheñ jise
hai intizār se sharar ābād rustaḳhez
mizhgān-e-koh-kan rag-e-ḳhārā kaheñ jise
kis fursat-e-wisāl pe hai gul ko andalīb
zaḳhm-e-firāq ḳhanda-e-be-jā kaheñ jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.