na rukte hain aansu na thamte hain nale
na rukte haiñ aañsū na thamte haiñ naale
kaho koī kaise mohabbat chhupā le
kare koī kyā gar vo aa.eñ yakāyak
nigāhoñ ko roke ki dil ko sambhāle
chaman vaale bijlī se bole na chāle
ġharīboñ ke ghar be-ḳhatā phūñk Daale
qayāmat haiñ zālim kī nīchī nigāheñ
ḳhudā jaane kyā ho jo nazreñ uThā le
karūñ aisā sajda vo ghabrā ke kah deñ
ḳhudā ke liye ab to sar ko uThā le
tumheñ banda-parvar hamīñ jānte haiñ
baḌe sīdhe-sādhe baḌe bhole-bhāle
bas itnī sī duurī ye maiñ huuñ ye manzil
kahāñ aa ke phūTe haiñ paañv ke chhāle
'qamar' maiñ huuñ muḳhtār tanzīm-e-shab kā
haiñ mere hī bas meñ añdhere ujāle
na rukte hain aansu na thamte hain nale
kaho koi kaise mohabbat chhupa le
kare koi kya gar wo aaen yakayak
nigahon ko roke ki dil ko sambhaale
chaman wale bijli se bole na chaale
gharibon ke ghar be-KHata phunk Dale
qayamat hain zalim ki nichi nigahen
KHuda jaane kya ho jo nazren uTha le
karun aisa sajda wo ghabra ke kah den
KHuda ke liye ab to sar ko uTha le
tumhein banda-parwar hamin jaante hain
baDe sidhe-sadhe baDe bhole-bhaale
bas itni si duri ye main hun ye manzil
kahan aa ke phuTe hain panw ke chhaale
'qamar' main hun muKHtar tanzim-e-shab ka
hain mere hi bas mein andhere ujale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.