Font by Mehr Nastaliq Web

na taḳht-o-tāj meñ ne lashkar-o-sipāh meñ hai

Allama Iqbal

na taḳht-o-tāj meñ ne lashkar-o-sipāh meñ hai

Allama Iqbal

na taḳht-o-tāj meñ ne lashkar-o-sipāh meñ hai

jo baat mard-e-qalandar bārgāh meñ hai

sanam-kada hai jahāñ aur mard-e-haq hai ḳhalīl

ye nukta vo hai ki poshīda lā-ilāh meñ hai

vahī jahāñ hai tirā jis ko kare paidā

ye sañg-o-ḳhisht nahīñ jo tirī nigāh meñ hai

mah o sitāra se aage maqām hai jis

vo musht-e-ḳhāk abhī āvārgān-e-rāh meñ hai

ḳhabar milī hai ḳhudāyān-e-bahr-o-bar se mujhe

farañg rahguzar-e-sail-e-be-panāh meñ hai

talāsh us fazāoñ meñ kar nasīb apnā

jahān-e-tāza mirī āh-e-sub.h-gāh meñ hai

mire kadū ko ġhanīmat samajh ki bāda-e-nāb

na madrase meñ hai baaqī na ḳhānqāh meñ hai

na taḳht-o-tāj meñ ne lashkar-o-sipāh meñ hai

jo baat mard-e-qalandar bārgāh meñ hai

sanam-kada hai jahāñ aur mard-e-haq hai ḳhalīl

ye nukta wo hai ki poshīda lā-ilāh meñ hai

wahī jahāñ hai tirā jis ko kare paidā

ye sañg-o-ḳhisht nahīñ jo tirī nigāh meñ hai

mah o sitāra se aage maqām hai jis

wo musht-e-ḳhāk abhī āwārgān-e-rāh meñ hai

ḳhabar milī hai ḳhudāyān-e-bahr-o-bar se mujhe

farañg rahguzar-e-sail-e-be-panāh meñ hai

talāsh us fazāoñ meñ kar nasīb apnā

jahān-e-tāza mirī āh-e-subh-gāh meñ hai

mere kadū ko ġhanīmat samajh ki bāda-e-nāb

na madrase meñ hai baqī na ḳhānqāh meñ hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now