naqsh fariyādī hai kis kī shoḳhi-e-tahrīr kā
naqsh fariyādī hai kis kī shoḳhi-e-tahrīr kā
kāġhzī hai pairahan har paikar-e-tasvīr kā
kaav kāv-e-saḳht-jānī hā.e-tanhā.ī na pūchh
sub.h karnā shaam kā laanā hai jū-e-shīr kā
jazba-e-be-iḳhtiyār-e-shauq dekhā chāhiye
sīna-e-shamshīr se bāhar hai dam shamshīr kā
āgahī dām-e-shunīdan jis qadar chāhe bichhā.e
mudda.ā anqā hai apne ālam-e-taqrīr kā
bas-ki huuñ 'ġhālib' asīrī meñ bhī ātish zer-e-pā
mū-e-ātish diida hai halqa mirī zanjīr kā
ātishīñ-pā huuñ gudāz-e-vahshat-e-zindāñ na pūchh
mū-e-ātish diida hai har halqa yaañ zanjīr kā
shoḳhī-e-nairañg said-e-vahshat-e-tā.ūs hai
dām-e-sabza meñ hai parvāz-e-chaman tasḳhīr kā
lazzat-e-ījād-e-nāz afsūn-e-arz-e-zauq-e-qatl
na.al ātish meñ hai teġh-e-yār se naḳhchīr kā
ḳhisht pusht-e-dast-e-ijz o qālib āġhosh-e-vidā.a
pur huā hai sail se paimāna kis ta.amīr kā
vahshat-e-ḳhvāb-e-adam shor-e-tamāshā hai 'asad'
jo maza jauhar nahīñ ā.īna-e-ta.abīr kā
naqsh fariyādī hai kis kī shoḳhi-e-tahrīr kā
kāġhzī hai pairahan har paikar-e-taswīr kā
kaw kāw-e-saḳht-jānī hāe-tanhāī na pūchh
subh karnā sham kā lanā hai jū-e-shīr kā
jazba-e-be-iḳhtiyār-e-shauq dekhā chāhiye
sīna-e-shamshīr se bāhar hai dam shamshīr kā
āgahī dām-e-shunīdan jis qadar chāhe bichhāe
muddaā anqā hai apne ālam-e-taqrīr kā
bas-ki huñ 'ġhālib' asīrī meñ bhī ātish zer-e-pā
mū-e-ātish dida hai halqa mirī zanjīr kā
ātishīñ-pā huñ gudāz-e-wahshat-e-zindāñ na pūchh
mū-e-ātish dida hai har halqa yañ zanjīr kā
shoḳhī-e-nairañg said-e-wahshat-e-tāūs hai
dām-e-sabza meñ hai parwāz-e-chaman tasḳhīr kā
lazzat-e-ījād-e-nāz afsūn-e-arz-e-zauq-e-qatl
nal ātish meñ hai teġh-e-yār se naḳhchīr kā
ḳhisht pusht-e-dast-e-ijz o qālib āġhosh-e-widāa
pur huā hai sail se paimāna kis tamīr kā
wahshat-e-ḳhwāb-e-adam shor-e-tamāshā hai 'asad'
jo maza jauhar nahīñ āīna-e-tabīr kā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.